Hooria Rafiq Lyrics

  • Thandi Thandi Hawa Rehmatoon Ki Chali Lyrics

    Thandi thandi hawa rehmatoon ki chali
    Ban ke mouj e karam, Mustafa aa gaye.

    Hal meri ho gayein khud ba khud mushkalein
    Saray aalam kay mushkil kusha aa gaye

    Aagaye aagaye Mustafa aagaye…

    Amina ka muqadar sanwara gaya
    Goud main chand jiski utara gaya
    Hoor o ghulman salami ko jhuknay lage
    Partay rizwan salle ala aagaye.

    Aagaye aagaye mustafa aagaye…

    Dono aalam ki kismat badalne lagi
    Noor main sari konain dhalne lagi
    Khush muqadar Halima mubarak tujhe
    Goud mein teri Khirul Wara aagaye.

    Aagaye aagaye mustafa aagaye…

    Ban gayi hai zameen rashk e bagh e jinnah
    Sajh gaye asman khil utha gul sitan
    Mang lo rehmatein khol lo jholiyan
    Denay khairat hajat rawan aagaye.

    Aagaye aagaye mustafa aagaye…

    Aaj koi bhi sa’im na khali rahe
    Sab muradein milein har musibat talay
    Madni aaqa ki aamad ka sadqa mile
    Bheek leney ko hum Ya Khuda aagaye.

    Aagaye aagaye mustafa aagaye…

  • Taiba Taiba Lyrics

    Taiba, Taiba, Taiba, Taiba!
    Taiba, Taiba, Taiba, Taiba!

    Mustafa kay des main pyari hawwaa lay chal mujhay
    Roza e Sarkar pay doun ga dua lay chal mujhay.

    Taiba, Taiba, Taiba, Taiba!
    Taiba, Taiba, Taiba, Taiba!

    Kehtay hain kay zindagi main kal kabhi aati nahin
    Unkay dar par aaj hee badal saba lay chal mujhay.

    Taiba, Taiba, Taiba, Taiba!
    Taiba, Taiba, Taiba, Taiba!

    Aie Madinay kay musafir ho kisi ko na khabar
    Is tarha say apni palkoon main chupa le chal mujhe.

    Taiba, Taiba, Taiba, Taiba!
    Taiba, Taiba, Taiba, Taiba!

    Hazri kay baad Sheh e Mustafa main dosto
    Koi bhi deta nahin hai yeh sada lay chal mujhay.

    Taiba, Taiba, Taiba, Taiba!
    Taiba, Taiba, Taiba, Taiba!

    Aie qadeer e baynawa tu sue e Taiba saath main
    Unkay sadqay main tera ho ga bhala lay chal mujhe.

    Taiba, Taiba, Taiba, Taiba!
    Taiba, Taiba, Taiba, Taiba!
    Taiba, Taiba, Taiba, Taiba!
    Taiba, Taiba, Taiba, Taiba!

  • Sayadi Sayadi Mustafa Mustafa Lyrics

    Salle ala, salle ala… salle ala, salle ala…
    Sayadi Sayadi, Mustafa Mustafa…
    Syedi Syedi, Mustafa Mustafa…
    Salle ala, salle ala… salle ala, salle ala…
    Sayadi Sayadi, Mustafa Mustafa…
    Syedi Syedi, Mustafa Mustafa…
    Aie shafi e ummam, muhtaram muhtasham,
    Sheh e bala o naam, roshani e haram
    Tere zere qadam, arsh o kuri qalam
    Ik nigah e karam, bey sahara hain hum
    Ab nahin tab e gham, ho gayi aankh naam
    Ik nigahe aata, ik nigah e aata.

    Sayadi Sayadi, Mustafa Mustafa…
    Syedi Syedi, Mustafa Mustafa…
    Salle ala, salle ala… salle ala, salle ala…
    Sayadi Sayadi, Mustafa Mustafa…
    Syedi Syedi, Mustafa Mustafa…
    Yeh zameen aasman, masnad e qudsiyaan,
    Roshni kehkashan, rang o boo gulsitan,
    Rehmat e inso jaan, zeenat e do jahan,
    Rahat e aashiqaan, baisay e kulfiqan,
    Zindagi ka nishaan, hai tera aasitaan,
    Malik e do sara, ek nigahe aata.
    Sayadi Sayadi, Mustafa Mustafa…
    Syedi Syedi, Mustafa Mustafa…
    Salle ala, salle ala… salle ala, salle ala…
    Sayadi Sayadi, Mustafa Mustafa…
    Syedi Syedi, Mustafa Mustafa…
    Hai teri ibtida, sidra tul muntaha,
    Aur teri intaha, sirf janay Khuda,
    Tere dar ke gada, do jahan say siwa,
    Tu jisay mil gaya, woh Khuda say mila,
    Ik nazar rab shaha, ho idhar bhi zara,
    Chahatay hain gada, ek nigah e aata.
    Sayadi Sayadi Mustafa Mustafa…
    Syedi Syedi, Mustafa Mustafa…
    Salle ala, salle ala… salle ala, salle ala…
    Sayadi Sayadi Mustafa Mustafa…
    Syedi Syedi, Mustafa Mustafa…
    Khatam ho fasla, dar pay apne bula,
    Hijr ka honsla, aur kahan main bhala,
    Noor e Rab ul Ula, hai ajab marhala,
    Waqat e Karbobala, hai mera kafila,
    Hai karam warmala, bakhsh unko jila,
    Dil ko kar aaina, ik nigha e aata.
    Sayadi Sayadi Mustafa Mustafa…
    Syedi Syedi, Mustafa Mustafa…
    Salle ala, salle ala… salle ala, salle ala…
    Sayadi Sayadi Mustafa Mustafa…
    Syedi Syedi, Mustafa Mustafa…
    Sayadi Sayadi Mustafa Mustafa…
    Syedi Syedi, Mustafa Mustafa…

  • Kaash Yeh Dua Meri Moojazay Main Dhal Jaye Lyrics

    1. Kaash Yeh Dua Meri, Moojazay Main Dhal Jaye,
    Kaash yeh dua meri, kaash yeh duaa meri
    maujaza meh dall jayay
    kaash yeh duaa meri, maujaza mein dall jayay
    samanay Madina ho, samnay Madina ho
    aur dam nikal jaye
    Samanay madina ho, aur damm nickal jayah
    kaash yeh duaa meri
    2. Ham gunah garoon par, aap jo karam kar dein
    ham gunnah gaarooh parr, aap jo karam kar dain
    aap jo karam kar theh, ham gunnah gaarooh ki
    hum gunnah gaarooh kee, zindagi sanwal jayah.

    ham gunnah gaarooh kee , zindagee samal jayah
    samanay Madina ho, aur damm nickel jayah
    kaash yeh duaa meri
    3. Wasta nawasoon ka, sadqa Ghouse Azam ka,
    Aft-o-bala sari, sab kay sar say tal jaye,
    Samanay Madina ho, aur dam nikal jaye
    4. Ai meray sakhi Data meri soi kismat bhi,
    App kay isharay say, Ya Nabi badal jaye.
    Jab guzar rahay hoon hum, pulsirat say Aaqa,
    Paoon dagmagaein to khud ba khud sambhal jayein.
    5. Panjatan kay sadqey mein, Ho Lahad Madinay main,
    HO karam jo Mohsim par, zindagi badal jaye.

    Other Verses:
    rooh raks karthee hai , naam jab sunno un kah
    rooh raks karthee hai , naam jab sunno un kah
    naam jab sunno un kah
    jaam machal machal jai, jaam machal machal jai
    dil behel behel jayah , dil behel behel jayah
    jaam machal machal , dil behel behel jayah
    samanay madina ho , aur damm nickal jayah
    kaash yeh duaa meri
    un kay thar say ayah jab , hazarey ka parvana
    un kay thar say ayah jab , hazarey ka parvana
    hazarey ka parvana
    talib un kay roza parr , kyue nah sarr ka bal chahay
    talib un kay roza parr , kyue nah sarr ka bal chahay
    samanay madina ho , aur damm nickal jayah
    kaash yeh duaa meri ,maujaza meh dall jayay
    samanay madina ho , aur damm nickal jayah
    samanay madina ho , aur damm nickal jayah
    Urdu Naat Information:
    Naat Sharif Reciter (Female): Hooria Rafiq

  • Faslon Ko Khudara Mita Do Lyrics

    Faslon ko khudara mita do
    Rukh say parda, ab apne hata do
    Apna jalwa, kisi main dikha do
    Jaliyon per nigahein jami hain.

    Gous ul Azam ho, Ghouse ul Wara ho
    Noor ho noor salle ala ho
    Kiya bayan aapka martaba ho
    Dastageer aur mushkil kusha ho
    Aaj deedar apna kara do.

    Jaliyoon per nigahein jami hain…

    Wajd main aaye ga sara aalam
    Jab pukarein gay, Ya Ghous e Azam
    Woh nikal aayein gay jaliyoon say
    Aur kadmoon main gir jayein gay hum
    Phir kahein ge, ke bigri bana do.

    Jaliyon per nigahein jami hain…

    Shidat e gham say, ghabra gaya houn
    Ab to jeenay say tang aa gaya houn
    Har taraf app ko dhoundta hoon
    Aur eik eik say yeh phuchta hoon
    Koi paigham ho to bata doon.

    Jaliyoon per nigahein jami hain…

    Aik mujrim siyah kar houn main
    Har khata ka saza war houn main
    Meray charoon taraf hai andhera
    Roshni ka talab gar houn main
    Eik diya hee samajh kay jala do

    Jaliyon par nigahein jami hein…

    Fiqr dekho khayalat dekho
    Yeh aqeedat yeh jazbat dekho
    Main houn kiya meri auqat dekho
    Samnay kiski hai zaat dekho
    Aie Adeeb apnay sir ko jhuka do

    Jaliyon per nigahein jami hain
    Jaliyoon par nigahein jmi hain

    Faaslon ko khudara mita do
    Rukh say parda, ab apne hata do
    Apna jalwa, kisi main dikha do
    Jaliyon per nigahein jami hain.

  • Dar-e-Nabi Par Para Rahoon Ga Lyrics

    Dare nabi par para rahoon ga pare hi rehne se kaam hoga
    Kabhi to qismat khule gi meri kabhi to mera salam hoga
    English Translation:
    I will remain at the Prophet’s door, my wishes will only be fulfilled by staying there!
    At some time my destiny will shine, sometime I will be able to present my salam!
    Khilafe mashooq kuch huwa hai na koi aashiq se kaam hoga
    Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil jidhar woh aali maqam hoga
    English Translation:
    No lover has ever done or will ever do anything against their beloved
    God will also be there, let the heart come to where that elevated place is!
    Kiye hi jaoon ga arz matlab milega jab tak na dil ka matlab
    Na shaam e matlab ki subha hogi na yeh fasana tamam hoga

    English Translation:
    I shall keep on pleading for my heart’s desire until it is met!
    Neither will the eve of my desires ever see morn, nor will this story ever end!
    Jo dil se hai ma’il-e-payambar yeh is ki pehchan hai muqarrar
    Ke har dam is be nawa ke lab par durood hoga salam hoga
    English Translation:
    He who is in thrall of the Messenger from his heart, is constantly recognised by this:
    At every breath from his soundless lips pours salutations and blessings upon him!
    Isi tawaqqa pe ji raha hoon yehi tamanna jila rahi hai
    Nigahe lutfo karam na hogi to mujh ko jeena haram hoga
    English Translation:
    I am keeping alive with this expectation; this want keeps me breathing:
    If I don’t receive his gracious gaze of pleasure my staying alive will be a crime!