d

  • Dardo Alam Ke Mare Lyrics

    Dardo Aalam Ke Mare
    Aie shahe waala
    Aaye hein datha
    Dhar pe tumhare
    O aaye hein datha
    Dhar pe tumhare

    Kisko sunaye ham
    Koun sunega ye
    Dard bari dhasta
    Shahe sarkaar se
    Gham khaar se
    Ummat ke he pukaar

    Meray shahe umam
    Kardo hampe karam
    Aie mere sultaane deen
    Ham tho barbaad hein,
    faryaad hein
    Nabiyon ke taajdar

    Meray sarkaar se
    Aaali vikhaar se
    Yahi hay dua meri
    Apne darbaar mey
    Sarkaar mey
    Bulwaalo ek baar

    Chowkat ko chodkar
    Ja unga ab kidar?
    Moulaye ansareza
    Dhuniya ko chodkar
    Mumodkar
    Aaya hoon sarkaar

    Submitted by: Meraj Fathima

  • Dard e Dil Chahiye Chashm e Tar Chahiye Lyrics

    Dard e Dil Chahiye Chashm e Tar Chahiye
    Mujh Ko Aaqa Ki Pyaari Nazar Chaahiye

    Hai Munawwar Ziya Sey Yeh Saara Jahan
    Sab Key Dil Ki Haqeeqat Hai Unpar ‘Ayaan
    Merey Dil Ki Tamanna Hai Jaan e Jahan
    Noor Ki Eyk Kiran Ab Idhar Chaahiye

    Sarwarey Do Jahan Ka Hai Behad Karam
    Zaatey Waala Sey Qaayim Hai Mera Bharam
    Mujh Ko Aaqa Dikhaatey Ho Apna Haram
    Aap Ki Deed Ko Chashm e Tar Chaahiye

    Khud Khudaa Ney Banaaya Hai Tum Ko Habeeb
    Aur Uss Ney Banaaya Hai Tum Ko Tabeeb
    Marz e ‘Isyaan Sey Ab To Shifa Ho Naseeb
    Sunnaton Par ‘Amal ‘Umr Bhar Chaahiye

    Ya Nabi Mujh Pey Ho Eyk Karam Ki Nazar
    Baar e ‘Isyaan Sey Ab To Jhuki Hai Kamar
    Koi Husn e ‘Amal To Nahin Hai Magar
    Mujh Ko Bakhshish Ka Zaad e Safar Chaahiye

    Bheek ‘Ilm o ‘Amal Ki ‘Ataa Keejiye
    Apni Sunnat Ka Paikar Banaa Deejiye
    Jaam e ‘Ulfat Mujhey Ab Pilaa Deejiye
    Waqt e Aakhir Mujhey Wo Nazar Chaahiye

    Sharf e Khidmat ‘Ataa Ho Gulaamon Ko Ab
    Jitney ‘Ushaaq Hain Sab Rahey Baa Adab
    Khuld Maskan Baney Aur Raazi Ho Rab
    Har Du’a Mey Meyri Wo Asar Chaahiye

    Jo Mujaahid Philisteen Mey Hain Shahaa
    Aas Tum Par Laga Kar Hee Paayain Jilaa
    Khaak Mey Zaalimon Ki Miley Ab Jafaa
    ‘Aashiqon Key Liye Ab Zafar Chaahiye

    Mujh Ko Aaqa Madiney Bulatey Rahey
    Shakir e Bey Nawaa Ko Nibhatey Rahey
    Apna Mehmaan Hameysha Banaatey Rahey
    Aakhree Waqt Mujh Ko Yeh Dar Chaahiye

  • Dar-e-Nabi Par Para Rahoon Ga Lyrics

    Dare nabi par para rahoon ga pare hi rehne se kaam hoga
    Kabhi to qismat khule gi meri kabhi to mera salam hoga
    English Translation:
    I will remain at the Prophet’s door, my wishes will only be fulfilled by staying there!
    At some time my destiny will shine, sometime I will be able to present my salam!
    Khilafe mashooq kuch huwa hai na koi aashiq se kaam hoga
    Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil jidhar woh aali maqam hoga
    English Translation:
    No lover has ever done or will ever do anything against their beloved
    God will also be there, let the heart come to where that elevated place is!
    Kiye hi jaoon ga arz matlab milega jab tak na dil ka matlab
    Na shaam e matlab ki subha hogi na yeh fasana tamam hoga

    English Translation:
    I shall keep on pleading for my heart’s desire until it is met!
    Neither will the eve of my desires ever see morn, nor will this story ever end!
    Jo dil se hai ma’il-e-payambar yeh is ki pehchan hai muqarrar
    Ke har dam is be nawa ke lab par durood hoga salam hoga
    English Translation:
    He who is in thrall of the Messenger from his heart, is constantly recognised by this:
    At every breath from his soundless lips pours salutations and blessings upon him!
    Isi tawaqqa pe ji raha hoon yehi tamanna jila rahi hai
    Nigahe lutfo karam na hogi to mujh ko jeena haram hoga
    English Translation:
    I am keeping alive with this expectation; this want keeps me breathing:
    If I don’t receive his gracious gaze of pleasure my staying alive will be a crime!

  • Darpesh Ho Taiba Ka Safar

    Darpesh ho Taiba ka safar, kaisa lagay ga
    Guzrein jo wahan shaam o sehar, kaisa lagay ga.

    Chorus:
    Bara acha lagay ga, bara pyara lagay ga, bara meetha lagay ga

    Aye kash Madinay mein mujhay mout youn aaye
    Qadmoom main ho sarkar kay sar kaisa lagay ga.

    [ Chorus ]

    Aye pyaray Khuda daikhoon mein sarkar ka jalwa
    Mil jayen dua to jo asar kaisa lagay ga.

    [ Chorus ]

    Aaqa ka gada hoon aie jahannum bhi to sun lay
    Woh kaisay jalay jo keh ghulam e Madani ho.

    Aye kash main ban jayoon Madinay ka musafir
    Phir rooti hui Taiba ko baraat chali ho.

    Jab dur say hai itna haseen Gumbad e Khizra
    Iss paar yeh aalam hay udhar kaisa lagay ga.

    [ Chorus ]

    Taibba ki sa’aadat to youn patay hain hazaron
    Murshid ka saath ho jo safar kaisa lagay ga.

    [ Chorus ]

    Aa jayein meray ghar mein agar Rehmat e Aalam
    Main kaisa lagoon ga mera ghar kaisa lagay ga.

    [ Chorus ]

    Darpesh ho Taiba ka safar, kaisa lagay ga
    Guzrein jo wahan sham o sehr, kaisa lagay ga.

    Bara acha lage ga, bara pyara lage ga, bara meetha lage ga