f

  • Faslon Ko Khudara Mita Do Lyrics

    Faslon ko khudara mita do
    Rukh say parda, ab apne hata do
    Apna jalwa, kisi main dikha do
    Jaliyon per nigahein jami hain.

    Gous ul Azam ho, Ghouse ul Wara ho
    Noor ho noor salle ala ho
    Kiya bayan aapka martaba ho
    Dastageer aur mushkil kusha ho
    Aaj deedar apna kara do.

    Jaliyoon per nigahein jami hain…

    Wajd main aaye ga sara aalam
    Jab pukarein gay, Ya Ghous e Azam
    Woh nikal aayein gay jaliyoon say
    Aur kadmoon main gir jayein gay hum
    Phir kahein ge, ke bigri bana do.

    Jaliyon per nigahein jami hain…

    Shidat e gham say, ghabra gaya houn
    Ab to jeenay say tang aa gaya houn
    Har taraf app ko dhoundta hoon
    Aur eik eik say yeh phuchta hoon
    Koi paigham ho to bata doon.

    Jaliyoon per nigahein jami hain…

    Aik mujrim siyah kar houn main
    Har khata ka saza war houn main
    Meray charoon taraf hai andhera
    Roshni ka talab gar houn main
    Eik diya hee samajh kay jala do

    Jaliyon par nigahein jami hein…

    Fiqr dekho khayalat dekho
    Yeh aqeedat yeh jazbat dekho
    Main houn kiya meri auqat dekho
    Samnay kiski hai zaat dekho
    Aie Adeeb apnay sir ko jhuka do

    Jaliyon per nigahein jami hain
    Jaliyoon par nigahein jmi hain

    Faaslon ko khudara mita do
    Rukh say parda, ab apne hata do
    Apna jalwa, kisi main dikha do
    Jaliyon per nigahein jami hain.

  • Falak Kay Nazaaro Lyrics

    Falak ke nazaro zameen ki baharo,
    Sub Eidein manao Huzoor agaye hain.

    Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain,
    Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain.

    Uttho bay karao, chalo bay saharo,
    khabar ye sunao Huzoor agaye hain.

    Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain,
    Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain.

    Anokha niraala woh zee shaan ayaa,
    Woh saray Rasoolaun ka Sultan ayaa,

    Aray baadshaho aray kaj kula’ho,
    Nigahein jhukao Huzoor agaye hain.

    Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain,
    Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain.

    Sama hai sana e Habeeb e Khuda ka,
    Yeh Milad hai Sarwaray Ambiya ka,
    Nabi kay gadao, sab eik doosray ko,
    Mubarak yeh sunao, Huzoor agaye hain.

    Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain,
    Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain.

    Huwaa char su Rahmataun ka ba’sayra,
    Ujaala ujaala, sawera sawera,
    Halima ko pohnchi khabar Aaminah ki,
    mere ghar main khair ul wara agaye hain.

    Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain,
    Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain.

    Kahaan mai Zahuri, kahaan unki batein,
    Karam hi karam hain, ye din aur ratein,
    Jahaan pay bhi jaao, dilaun ko jagao,
    yah kehtay hi jaao, Huzoor agaye hain.

    Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain,
    Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain.

    Hawaun mein jazbaat hain Marhaba ke,
    fizaun mein naghmaat Salle’Alla ke,
    Daroodaun ke gajrey salamaun ke tohfay,
    Ghulamo sajaao, Huzoor agaye hain.

    Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain,
    Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain.

    Lyrics information
    Artist: Hafiz Abid Qadri
    Album: Noor Ka Jhanda Lehraya Hai
    Production: QTV