i

  • Ishq Ki Inteha Syeda Fatima Lyrics

    Ishq kee Intiha Syeda Fatima,
    Bint e Khair ul Wara, Bint e Khair ul Wara.
    Zahida, Abida, Sabira, Sajida
    Bint e Khair ul Wara, Bint e Khair ul Wara.

    Shan e ahl e sakha, jaan e Khair ul Wara
    Aan e mushkil kusha, Aan e mushkil kusha.
    Tujh pay qurban Maryem, fida Aasiya,
    Bint e Khair ul Wara, Bint e Khair ul Wara.

    Tera Baba Nabi, aur shohar Wali
    Naam jinka Ali, Naam jinka Ali.
    Allah Allah, Tera martaba silsila,
    Bint e Khair ul Wara, Bint e Khair ul Wara.

    Dar pay jo bhi gaya, uska daman bhara,
    Gar mein paak aa raha, Gar mein paak aa raha.
    Marhaba marhaba, tera jud o sakha,
    Bint e Khair ul Wara, Bint e Khair ul Wara.

    Jis ka ghar lut gaya, woh tera ladla
    Na jhuka na bika, Na jhuka na bika.
    Kar diya haq aada youn teray doodh ka,
    Bint e Khair ul Wara, Bint e Khair ul Wara.

    Teri azmat juda, teri rif’at wala,
    Gar hai noor un ala, Gar hai noor un ala.
    Ho zuban say bayan teri kaisay sana,
    Bint e Khair ul Wara, Bint e Khair ul Wara.

    Aaya tatheer hai, teray sir key rida
    Hai aataye Khuda, Hai ataye Khuda.
    Tujh say qayam hai dunya main husn o haya,
    Bint e Khair ul Wara, Bint e Khair ul Wara.

    Syed e Karbala ka tujhay wasta, Syed e Karbala ka tujhay wasta,
    Syeda Fatima, Syeda Fatima,
    Bhar do daman mera houn mein tera gada,
    Bint e Khair ul Wara, Bint e Khair ul Wara.

    Teray dar say sada, sab ka daman bhara,
    Eik Niyazi hi kiya, Eik Niyazi he kiya,
    Mangein dar say teray auliya asfiya
    Bint e Khair ul Vara, Bint e Khair ul Wara.

    Lyrics Information

    Artist: Milad Raza Qadri
    Album: Ishq Kee Inteha

  • Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon Lyrics

    Zahir ki ankh se na tamasha kare koi,
    Ho dekhna to deeda-e-dil wah kare koi,
    Parh bethay kiya samajh ker bhala toor per kaleem
    Takkat ho deed ki to taqaza kare koi

    Ilahi teri chokhat per bhikari ban ker aya hoon,
    Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
    Bhikari woh ke jis ke paas jholi hai na payala hai,
    Bhikari woh jisey hiras-o-hawas nay maar dala hai,
    Mata-e-deen-o-danish, nafs ke hathon se lutwa ker.

    Sakoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent charha ker,
    Lutta ker sari poonji ghaflat-o-issyan ki daldal mein,
    Sahara lene aya hoon tere kaabay ke aanchal mein,
    Gunahon ki lipatt sey, kaynat-e-qalb afsurda,

    Iraaday muzmehehal, himmat shikasta hoslay murda,
    Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki,
    Ke kis jhanjhal mein guzri hein ghariyan zindagani ki.

    Khulasa yeh ke bus jull bhun ker apni roo-sayahi sey,
    Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey,
    Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon-haali,
    Teri chokhat ke laeq har amal se hath hein khali,
    Yeh Tera ghar hai ye Tere mehr ka darbar hai Maula
    Sarapa noor hai, ik mohbat-e-anwaar hai Mola.

    Teri chokhat ke jo adab hein, main unn se khali hoon,
    Nahi jis ko saleeqa manganey ka, woh sawali hoon
    Zuban ghalt-e-nadamat dil ki na’kas tarjumani per,
    Khudaya reham meri iss zaban-e-ijz-zabani per,
    Ye ankhein khushk hein, Ya Rabb inhein rona nahi aata,
    Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi aata.

    Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon,
    Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
    Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon.

    Lyrics & Video Information:
    Artist: Junaid Jamshed
    Video Title: Multazim Par
    Kalaam By: Mufti Taqi Usmani
    Album: Jawa-e-Janaan

  • Iman Ramzan | Iman Hai Ramadan Lyrics

    Allah Allah Allah Allah
    Allah Allah Allah Allah
    Momin ka musalman ka, iman hai ramzan
    Aie parchamay toheed teri shaan hai ramadan,
    Iman hai Ramzan
    Ramazan, ramzan, iman ramdan.
    Aamid hai teri aamid e quran ka ailan
    Teray liye mehboob e khuda ka hai yeh farman
    Amid say teri dakhil e zindan hai shitan
    Iman hai Ramadan
    Momin ka musalman ka iman hai ramzan
    Aie parchamay tohid teri shan hai ramadan,
    Eman hai Ramzan
    Tu aaye to barhta hai azanoon ka taranum
    Har dil mein utar jata hai quraan ka taqalum
    Sajdoon ka namazoon ka dil o jaan hai ramzan
    Iman hai Ramadan
    Momin ka musalman ka iman hai ramzan
    Aie parchamay tuheed teri shaan hai ramazan,
    Iman hai Ramzan
    Ramazan ramazan iman ramdan
    Muflis ka masaqeen ka tu rizq rasaan hai
    Tuj jaisa koi gayarah maheenon mein kahan hai
    Goya kay tu hee surah e rehman hai ramazan
    Iman hai Ramzan
    Kiya noor ki barsat nazar aati hai har soon
    Pheli hai teray aanay say quran ki khushboo
    Haan aalim e islam pay ahsan hai ramzan
    Iman hai Ramadan
    Momin ka musalman ka iman hai ramzan
    Aie parchamay toheed teri shaan hai ramadan,
    Iman hai Ramzan
    Ramazan ramazan iman ramdan
    Aamir tujhay har parah e quraan ki qasam hai
    Iman o aaqeday ka yeh ramzan bharam hai
    Aie dehnay Muhammad teri muskaan hai ramadan
    Iman hai Ramazan
    Momin ka musalman ka iman hai ramzan
    Aie parchamay toheed teri shaan hai ramadan,
    Iman hai Ramzan
    Ramazan ramazan iman ramdan

  • Iltija hey iltija, aie meray Rab e Kareem – Lyrics

    Iltija hey iltija, aie meray Rab e Kareem
    Tu dua maqbool farmata hai, aur Tu hai Raheem.

    Tu hai Khaliq, Tu hei Malik, Tu hai Muqtal e Jahaan
    Zaray zaray say hai Teri Shan e Khalati ayan.
    Teri qudrat kay mazahir char suu hain bayguman
    Kon hai Tujsa kavi aie dastagee ray bay kasan.
    Tu Khuda e Lamyazal hai, aur hai sab say azeem.

    Ilteja hai Ilteeja, aye meray Rab e Karim
    Iltaja hye Iltija, aie maray Rabb e Kareem.

    Gham kay maray hain, karam ki bheek day aie Zuljalal
    Hum Teray lachar banday hain humein kuch day kay taal.
    Apnay bad amaliyon say ho chukay hain hum lidhal
    Hum siyah bakhtoon pay bhi ya Rab nigahay lutf daal.
    Apnay rastay per chala day hum ko aye Zaat e Azeem.

    Ilteja hai Iltija, aie meray Rab e Kareem
    Ilteja hai Iltija, aie meray Rab e Kareem.

    Dosh e sarwar kay sawaroon ka tasaduk ho ata
    Fatima Zahra kay pyaroon ka tasadak ho aata.
    Ho aata Aaqa kay yaroon ka tasadak ho aata
    Apnay pakeeza nazaroon ka tasadak ho aata.
    Day humein taufeeq Apna e siratay mustaqeem.

    Ilteja hai Iltija, aie meray Rab e Kareem
    Ilteja hai Iltija, aie meray Rab e Kareem.

    Kash ho Teray haram ki hazri humko aata
    Wasta detay hain hum Tujkho Teray Mehboob ka
    Hai Teray pyaray haram kay sab nazaray dil kusha
    Woh nazaray pyaray pyarey Ya Khuda Humko dikha
    Sangey aswad multazam ruknay yamaney aur hateem.

    Ilteja hai Iltija, aie meray Rab e Kareem
    Ilteja hai Iltija, aie meray Rab e Kareem.

    Day humein Apnay Rasul e Pak ki ulfat kay jaam
    Takay hum ho jayein Ya Rab khush isalo kush khiraan
    Jin kay Fayazi bhi naghmay gaa raha hai subh o shaam
    Jin kay iss yameen say behtar karoroon hain ghulaam
    Woh Jinhein tunay kiya hai Sahib e Khulqay Azeem.

    Ilteja hai Iltija, aie meray Rab e Kareem
    Ilteja hai Iltija, aie meray Rab e Kareem.