Iltija hey iltija, aie meray Rab e Kareem
Tu dua maqbool farmata hai, aur Tu hai Raheem.
Tu hai Khaliq, Tu hei Malik, Tu hai Muqtal e Jahaan
Zaray zaray say hai Teri Shan e Khalati ayan.
Teri qudrat kay mazahir char suu hain bayguman
Kon hai Tujsa kavi aie dastagee ray bay kasan.
Tu Khuda e Lamyazal hai, aur hai sab say azeem.
Ilteja hai Ilteeja, aye meray Rab e Karim
Iltaja hye Iltija, aie maray Rabb e Kareem.
Gham kay maray hain, karam ki bheek day aie Zuljalal
Hum Teray lachar banday hain humein kuch day kay taal.
Apnay bad amaliyon say ho chukay hain hum lidhal
Hum siyah bakhtoon pay bhi ya Rab nigahay lutf daal.
Apnay rastay per chala day hum ko aye Zaat e Azeem.
Ilteja hai Iltija, aie meray Rab e Kareem
Ilteja hai Iltija, aie meray Rab e Kareem.
Dosh e sarwar kay sawaroon ka tasaduk ho ata
Fatima Zahra kay pyaroon ka tasadak ho aata.
Ho aata Aaqa kay yaroon ka tasadak ho aata
Apnay pakeeza nazaroon ka tasadak ho aata.
Day humein taufeeq Apna e siratay mustaqeem.
Ilteja hai Iltija, aie meray Rab e Kareem
Ilteja hai Iltija, aie meray Rab e Kareem.
Kash ho Teray haram ki hazri humko aata
Wasta detay hain hum Tujkho Teray Mehboob ka
Hai Teray pyaray haram kay sab nazaray dil kusha
Woh nazaray pyaray pyarey Ya Khuda Humko dikha
Sangey aswad multazam ruknay yamaney aur hateem.
Ilteja hai Iltija, aie meray Rab e Kareem
Ilteja hai Iltija, aie meray Rab e Kareem.
Day humein Apnay Rasul e Pak ki ulfat kay jaam
Takay hum ho jayein Ya Rab khush isalo kush khiraan
Jin kay Fayazi bhi naghmay gaa raha hai subh o shaam
Jin kay iss yameen say behtar karoroon hain ghulaam
Woh Jinhein tunay kiya hai Sahib e Khulqay Azeem.
Ilteja hai Iltija, aie meray Rab e Kareem
Ilteja hai Iltija, aie meray Rab e Kareem.
Comments are closed.