Dard e Dil Chahiye Chashm e Tar Chahiye
Mujh Ko Aaqa Ki Pyaari Nazar Chaahiye
Hai Munawwar Ziya Sey Yeh Saara Jahan
Sab Key Dil Ki Haqeeqat Hai Unpar ‘Ayaan
Merey Dil Ki Tamanna Hai Jaan e Jahan
Noor Ki Eyk Kiran Ab Idhar Chaahiye
Sarwarey Do Jahan Ka Hai Behad Karam
Zaatey Waala Sey Qaayim Hai Mera Bharam
Mujh Ko Aaqa Dikhaatey Ho Apna Haram
Aap Ki Deed Ko Chashm e Tar Chaahiye
Khud Khudaa Ney Banaaya Hai Tum Ko Habeeb
Aur Uss Ney Banaaya Hai Tum Ko Tabeeb
Marz e ‘Isyaan Sey Ab To Shifa Ho Naseeb
Sunnaton Par ‘Amal ‘Umr Bhar Chaahiye
Ya Nabi Mujh Pey Ho Eyk Karam Ki Nazar
Baar e ‘Isyaan Sey Ab To Jhuki Hai Kamar
Koi Husn e ‘Amal To Nahin Hai Magar
Mujh Ko Bakhshish Ka Zaad e Safar Chaahiye
Bheek ‘Ilm o ‘Amal Ki ‘Ataa Keejiye
Apni Sunnat Ka Paikar Banaa Deejiye
Jaam e ‘Ulfat Mujhey Ab Pilaa Deejiye
Waqt e Aakhir Mujhey Wo Nazar Chaahiye
Sharf e Khidmat ‘Ataa Ho Gulaamon Ko Ab
Jitney ‘Ushaaq Hain Sab Rahey Baa Adab
Khuld Maskan Baney Aur Raazi Ho Rab
Har Du’a Mey Meyri Wo Asar Chaahiye
Jo Mujaahid Philisteen Mey Hain Shahaa
Aas Tum Par Laga Kar Hee Paayain Jilaa
Khaak Mey Zaalimon Ki Miley Ab Jafaa
‘Aashiqon Key Liye Ab Zafar Chaahiye
Mujh Ko Aaqa Madiney Bulatey Rahey
Shakir e Bey Nawaa Ko Nibhatey Rahey
Apna Mehmaan Hameysha Banaatey Rahey
Aakhree Waqt Mujh Ko Yeh Dar Chaahiye
Comments are closed.