Irfan Hussain Nohay Lyrics

Irfan Hussain’s Biography: 
He is Shia and recites nohas and lives in India.

  • Ay Mere Asghare Bezubaan Lyrics

    Ay Mere Asghare Bezubaan, Tujhe Dhondne jaoon Kahan x2
    Tujh Pe Sadqe Gaee Meri Jaan,
    Tujhe Dhoond Ne Jaoon Kahan x2

    1. Sari Sari Raat Tujhe Jhoola Jhulaoon Mein ,Jhoola Jhulaoon Mein…
    Sari Sari Raat Tujhe Lori Sunaoon Mein Lori ,Sunaoon Mein
    Ay Mere Jaanbalab Neem Jaan x2
    Tujhe Dhoondh Ne Jaoon Kahan.
    Ay Mere Asghare Bezubaan, Tujhe Dhondne jaoon Kahan x2

    2. Aaja Mere Laal Tujko Godh Me Sulaungi, Godh Me Sulaungi
    Aaja Mere Laal Tujko Dood Me Pelaungi, Dood Me Pelaungi
    Ay Mere Tashnalab Tashna Jaan x2
    Tujhe Dhoondh Ne Jaoon Kahan.
    Ay Mere Asghare Bezubaan, Tujhe Dhondne jaoon Kahan x2

    3. Karbala Ke Pyasson Ki Ek Daastaan Sunani Hai, Daastaan Sunani Hai
    Ab Kahan Qismat Me Tere Karbala Ka Pani Hai, Karbala Ka Pani
    Sune Jungle Mein Soae Kahan x2
    Tujhe Dhoondh Ne Jaoon Kahan.
    Ay Mere Asghare Bezubaan, Tujhe Dhondne jaoon Kahan x2

    4. Akbar-o Abbas-o-qasim Aun Bhi Maregaye, Aun Bhi Maregaye
    Lutgaya Zehra Ka Gulshan Shaha Bhi Maregaye, Shaha Bhi Mare
    Hogaya Saara Ghar Veeraan x2
    Tujhe Dhoondh Ne Jaoon Kahan.
    Ay Mere Asghare Bezubaan, Tujhe Dhondne jaoon Kahan x2

    5. Anwar Saari Raat Bano Sonchti Rahi, Bano Sonchti Rahi
    Anwar Saari Raat Bano Dekh Thi Rahi, Bano Dekh Thi Rahi
    wo Teri Maut Ki Hickiya x2
    Tujhe Dhoondh Ne Jaoon Kahan.
    Ay Mere Asghare Bezubaan, Tujhe Dhondne jaoon Kahan x3

     

  • Ay Kufey Waalo Mein Zainab (A.S) Hoon Lyrics

     

    Ay kufey waalo mein zainab hoon x2
    Mera baba saqiye kausar hai

    Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

    1. Tum jiska kalma padhte ho may zainab uski nawasi hoon
    Shezadae jannat bhai merey may zainab unki pyari hoon
    Pehchano mujhe may zainab hoon
    Mera nana shafiye mehshar hai
    Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

    2. Meri madar fatema zehra hai jo jannat ki shehzadi hai
    Ehkaam-e- shariat ko logon duniya mein jo lekar aae hai
    Ab uski beti balwe mein be makhnaa hai be chadar hai
    Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

    3. Shabbir ki pyari dukhtar par yun shimr-e- laeen ne zulm kiya
    Kano ke gauhar bhi cheen liye galo pe tamache bhi maare
    Ye kaise musalman hai jinke seeney meyn dil nahi patthar hai
    Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

    4. May dekh rahi thi tegh tale bhuka pyaasa majaya tha
    May dekh rahi ek din mein ghar mera saara ujdaa tha
    Paamal hue sabke laashe na qasim hai na akbar hai
    Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

    5. Kodon ki aziyath se merey aabid ka badan bhi zakhmi hai
    Behaal sakina hai meri bhuki hai bohut aur pyaasi hai
    Kehti hai ro ro kar banu godi mein merey na asghar hai
    Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

    6. Hai baarah galo mein ek rasan dukta hai galaa ghut ta hai dum
    Zulmat ki ghata-e- chaen hain dil mein hai merey shabbir ka gham
    Ye kaisi musibaat aae hai gherey hue hum ko sitamgar hai
    Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

    7. Ahmed ne jo ye noha likha dil kaamp utha gham se uska
    Irfan ghame zainab mein jab rote hue is nohay ko padha
    Karte hain sabhi aaho-zaari har simpt mein barpa mehshar hai
    Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

     

  • Bazaar e Shaam Lyrics

    Bazaar-e-Shaam x3
    Fatema Ki Betiyaan Hai Sar Khule Bazaar Mein
    Kya Qayamat Ka Sama Hai x2
    Nargaei Kuffaar Mein
    Bazaar-e-Shaam x3
    Fatema Ki Betiyaan Hai Sar Khule Bazaar Mein

    1. Moun Ko Dhaapungi Mein Kaise Baal Chote Hai Mere x2
    Roke Kehti Thi Sakina Shaam Ke Bazaar Mein.
    Bazaar-e-Shaam x3
    Fatema Ki Betiyaan Hai Sar Khule Bazaar Mein

    2. Karbala Se Shaam Tak Paidal Chale Aale Abaa x2
    Abile Phoote Hai Paee Abide Beemar Mein.
    Bazaar-e-Shaam x3
    Fatema Ki Betiyaan Hai Sar Khule Bazaar Mein

    3. Gham Mein Apne Baap Ke Is Tarha Se Roae Imam x2
    Ek Sadaee Gham Bhi hai Zanjeero Ki Jhankaar Mein.
    Bazaar-e-Shaam x3
    Fatema Ki Betiyaan Hai Sar Khule Bazaar Mein

    4. Tapta Sehra Sin Hai Chota Aur Gale Mein Reesma x2
    Chalti Hai Haae Sakina Jaadae Purkhar Mein
    Bazaar-e-Shaam x3
    Fatema Ki Betiyaan Hai Sar Khule Bazaar Mein

    5. Khutbae Zainab Ko Sunkar Kaamp Utha Shehre Sitam x2
    Hubahu Hyder Thi Zainab Lehja-E-Guftaar Mein
    Bazaare Shaam x3
    Fatema Ki Betiyaan Hai Sar Khule Bazaar Mein

    6. Padke Noha Gham Se Ye Irfan Deta Hai Sadaa x2
    Ek Sada-E-Dard Hai Ahmed Terey Ashaar Mein
    Bazaar-e-Shaam x3
    Fatema Ki Betiyaan Hai Sar Khule Bazaar Mein x3

     

     

  • Sakina Roti Hai Haay Kidhar Gaye Ammu Lyrics

    Sakina Roti Haay Haee Kidhar Gaye Ammu x2

    1. Hussain Qaime Mein Mashko Alam Ko Laaen Hai
    Magar Taraee Pe Saqa Ko Chod Aae Hai
    Najaane Kaisi Wasiyath Wo Kargaye Ammu
    Sakina Roti Haa Haay Kidhar Gaye Ammu x2

    2. Khud Apne Hatton Se Parcham Mein Mashk Baandhi Thi
    Wahi Jagaee Thi Umeed Pyase Bachon Ki
    Kahan Duaoon Ke Lekar Asar Gaye Ammu
    Sakina Roti Hai Haay Kidhar Gaye Ammu x2

    3. Kamar Ko Haathon Se Thame Huwe Hai Kyun Baba
    Chidi Hai Mashk Alam Qoon Mein Hai Kyon Dooba
    Ye Kya Howa Hai Kahan Be Sipar Gaye Ammu
    Sakina Roti Hai Haay Kidhar Gaye Ammu x2

    4. Ye Kaise Aey Hai Ansoon Phuphi Ki Aankhoon Mein
    Abhi To Aas Thi Tashna Labi Ki Aankhoon Mein
    Udhar Bhi Dekti Thi Hai The Jidhar Gaye Ammu
    Sakina Roti Hai Haay Kidhar Gaye Ammu x2

    5. Kaheen Wo Chand Sa Chehra Nazar Nahi Aata
    Nigahen Pyasi Hai Saqa Nazar Nahi Aata
    Udaas Hai Kahan Rashke Qamar Gaye Ammu
    Sakina Roti Hai Haay Kidhar Gaye Ammu x2

    6. Ye Pochthi Hai Qayalon Mein Khoi Khoi Si
    Hai Bibiyon Ke Saron Par Ridaee Toh Baqi
    Magar Ye Kisliye Chehre Utar Gaye Ammu
    Sakina Roti Hai Haay Kidhar Gaye Ammu x2

    7. Shaheed Hote Toh Qaime Mein Laate Sheh Laasha
    Har Ek Shaheed Ki Mayath Ko Laaen Hai Baba
    Kisi Se Poche Gi Kaise Ke Margaye Ammu
    Sakina Roti Hai Haay Kidhar Gaye Ammu x2

    8. Sakina Bibi Ki Haalath Ajeeb Hai Fidvi
    Ye Sochthi Hai Wo Irfan Pyaas Ki Maari
    Ye Kaise Toot Ke Kooze Bikhar Gaye Ammu
    Sakina Roti Hai Haay Kidhar Gaye Ammu x2

  • Inqulab Inqulab Lyrics

    Inqulab Inqulab Inqulab Inqulab Inqulab

    Zainab-e-dilgeer tera inqalab;
    inqalab inqalab inqalab.
    Warise thatheer tera inqalab;
    inqalab inqalab inqalab.

    1. Deene nabi ko toone bachaya;
    maqsade sarwar toone bataya.
    kaanton pe chal kar haan kantoon pe chalkar;
    bolti shamsheer tera inqulab.
    inqulab inqulab inqulab inqulab inqulab.

    2. Ibne ali ki majliso matam;
    uncha rahega deen ka parcham.
    Teri badaulat haan teri badaulat;
    sha ki hamsheer tera inqulab.
    Inqulab inqulab inqulab inqulab inqulab.

    3. Deen ki qatir toone di chadar;
    bachon ko apne waar ke sheh par.
    Kardiya qurbaan haan kardiya qurbaan;
    sabr ki tafseer tera inqulab.
    Inqulab inqulab inqulab inqulab inqulab.

    4. Teen-o-imam-o-ki tu nighehbaan;
    hai ye haqiqat teri ye zubaan.
    Bolta quran hai bolta quran;
    zehra ki tanveer tera inqulab.
    Inqulab inqulab inqulab inqulab inqulab.

    5. Ghar mein laaen ke majlis-e-sarwar;
    toone bapaa ki dukhtar-e- hyder.
    Marhaba bibi haan marhaba bibi;
    sabr ki tauqeer tera inqulab.
    Inqulab inqulab inqulab inqulab inqulab.

    6. Tujh pe hai nazaan saari khudai;
    tujhpe fidaa hai shah sa bhai.
    Sani-e-zehra ay sani-e-zehra;
    zehra ki tasveer tera inqulab.
    Inqulab inqulab inqulab inqulab inqulab.

    7. Qutbe mein terey lehja-e-hyder;
    hogaya mehshar qutbe ko sunkar.
    Kaampe ehleshar haan kaampe ehleshar;
    quwat-e-shabbir ter inqulab.
    Inqulab inqulab inqulab inqulab inqulab

    8. Ahmed-o-irfan padht-e- hain noha;
    aap ka bibi hai badaa rutbaa.
    fatah-e karbal ay fatah-e-karbal;
    ay narae takbeer tera inqulab.
    Inqulab inqulab inqulab inqulab inqulab.

  • Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara Lyrics

    Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2
    Ashur Ke Din Chal Basa Bewaa Ka Sahara
    Teraa Hi Baras Ji Saka Bewa Ka Sahara x2

    1. Bhooka Tha Kaeen Roz Se Tha Tashna Dahan Bhi
    Sar Par Bhi Kaeen Zaqm Hai Tukde Hai Badan Bhi
    Kis Zulm Se Maragaya Bewaa Ka Sahara

    Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2

    2.Sarwar Ne Pada Bikhri Huwi Laash Pe Noha
    Maqtal Mein Hasan Aae Kiya Rooh Ne Girya
    Gatri Mein Simat Kar Utha Bewaa Ka Sahara

    Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2

    3. Madar Ke Liye Vaqaye Phoolon Se Haseen Hai
    Ab Maa Ke Tamanna-O-Ke Gulshan Mein Nahi Hai
    Khabon Hi Mein Ab Aae Ga Bewaa Ka Sahara

    Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2

    4. Mein Jeeti Chali Aae Thi Uske Hi Saharey
    Ab Din Ye Zaaefi Ke Bhala Kaise Guzara
    Jannat Ki Taraf Ja Chuka Bewa Ka Sahara

    Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2

    5. Hai Qaak Mein Aur Qun Mein Dube Huve Gesun
    Hai Bikhre Huve Phoolon Ki Bikhri Huvi Khushbu
    Kis Shaan Se Dulha Bana Bewa Ka Sahara

    Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2

    6. Is Haal Mein Ab Maa Ko Qaraar Aaega Kyunkar
    Kis Tarha Bhula Paegi Ashur Ka Manzar
    Kya Chutke Milega Bhala Bewaa Ka Sahara

    Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2

    7. Ghar Jaake Bhi Hai Bhuli Huvi Apne Watan Ko
    Bas Yaad Kiya Karti Hai Paamal Badan Ko
    Is Haal Mein Aakar Mila Bewaa Ka Sahara

    Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2

    8. Fidvi Ka Likha Noha Jo Irfan Padega
    Sunne Ke Liya Paak Dil Insan Bhadega
    Phir Ashkon Ko Yaad Aega Bewaa Ka Sahara

    Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2

    Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x3

     

  • Ay Shaam Terey Baazaron Se Aati Hai Sadaa Zanjeeron Ki Lyrics

    Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki
    Khamosh zubaan hai khanjar ki gardan hai jhuki shasheeron ki
    Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

    1. Ye naqsh-e- kafe paae aabid aayat hai bolte quraan ki
    Hai aabilae paa qatrae qun hai aaene huq aur eimaan ke
    Chamkegi jabeen suraj bankar x2
    tha hashr unhi tehreeron ki

    Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

    2. Shabbir pe rouze aashura dhae gae laakhon zulmon sitaam
    Zakhmi tha badan chalni tha jigar maidaan mein tanha shahe umam
    Barsae gaye the patthar bhi x2
    baarish bhi huvi thi teeron ki

    Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

    3. Naize se tilavath shah ne ki ek hashr bapaa baazar mein tha
    Darbaar mein qutbae zainab se larza sa dar-o-deevar mein tha
    Mimbar pe gaye sajjad-e-hazeen x2
    Ek goonj uthi taqreeron ki

    Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

    4. Wo shaam-e-gareeban ka manzar tha ek qayamat ka aalam
    The sehme huve nanhe bache hairaan-o-pareshan ehl-e-haram
    Qaimon ko jalaen the aadan x2
    Haalat thi ajab dilgeeron ki

    Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

    5. Cheeni hai laeenon ne chadar durre bhi lagae hai zaalim
    The ek rasan mein barah gale kaaro pa chalaen hai zaalim
    Ye izzat ye tauqeer huvi x2
    Tatheer ke daamangeeron ki

    Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

    6. Asghar ke gale par teer lagaa akbar ke kaleje mein naiza
    Ek kundh churi se zaalim ne shabbir ka kaata khushk galaa
    Yun kaati gae hai shiryaane x2
    Quraan teri tafseeron ki

    Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

    7. Ye aah-o-fughaan ye ashko lahu ye tazia aur ye majlise ghaam
    Ye seena zani ye mask-o-alam ye nouha-e-irfan aur matam
    Halki si jhalak hai ek akhtar x2
    Un dard bhari tasveeron ki

    Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki x2

  • Aa Palat Aa Ay Hussain (A.S) Lyrics

    Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2
    Tujhse raazi hai khuda aa palat aa ay hussain

    Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

    1. Asr-e- ashur ka hangaam qayamat ka samaa
    Dhoop mein jalti hui reth se uthta hai dhuan
    Bhuk aur pyaas ka maara hai har ek peer-o-jawan
    Shiddat-e-pyaas se hai tadkhi hui teri zubaan
    Qushk hai tera galaa aa palat aa ay hussain

    Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

    2. Tera har ek amal nek hai tabinda hai
    Muarika huq ke liye tera ye painda hai
    Sabr-e-ayub terey sabr se sharminda hai
    Qatl jo huq ke liye hogaya vo zinda hai
    Terey huq mein hai baqaa aa palat aa ay hussain

    Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

    3. Tune islaam ko akbar ki jawani de di
    Thi jo nana ki nishaani vo nishani de di
    Nutq eimaan ko ashkon ko ravani de di
    Qatm jo ho naa sakegi vo kahaani de di
    Naam uncha hai tera aa palat aa ay hussai

    Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

    4. Subh-o-se tune kaen laashe uthaye hai hussain
    Zakhm par zakhm har ek gaam pa khaye hai hussain
    Dushman-e-deen bohut tujhko satae hai hussain
    Khanjaro tegh-o-sinaa tujh pa chalae hai hussain
    Tune har zulm sahaa aa palat aa ay hussain

    Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

    5. Laash-e-qasim ke rakhe tukde abaa mein tuney
    Wakf ki apni zubaan humdosana mein tuney
    Ghar kiya apna fida rahe khudaa mein tuney
    Zulm kya kya na sahe karbobala mein tuney
    Kar diya waada wafaa aa palat aa ay hussain

    Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

    6. Hogaya qatm har ek nasir-o-yaawar tera
    Tera qasim hai na ab hai ali akbar tera
    Aun hai aur na mohammad hai na asghar tera
    Sogaya nehr pa abbas-e-dilawar tera
    Tu akela hai khada aa palat aa ay hussain

    Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

    7.aa merey paas mohammad ke nawase aaja
    Ay merey teen shabo roz ke pyaase aaja
    Jaanib-e-arshe bareen karbobala se aaja
    Ab to milne ke liye apne khuda se aaja
    Mera sab kuch hai tera aa palat aa ay hussain

    Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

    8. Tera noha terey akhtar ne likha hai shabbir
    Terey irfan ne noha ye padha hai shabbir
    Majlis-e-gha mein ajab hashr bapaa hai shabbir
    Ye bhi ek tera karam teri aata hai shabbir
    Deke ummat ko dua aa palaty aa ay hussain

    Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x3