Aa Palat Aa Ay Hussain (A.S) Lyrics

in Irfan Hussain Nohay Lyrics

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2
Tujhse raazi hai khuda aa palat aa ay hussain

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

1. Asr-e- ashur ka hangaam qayamat ka samaa
Dhoop mein jalti hui reth se uthta hai dhuan
Bhuk aur pyaas ka maara hai har ek peer-o-jawan
Shiddat-e-pyaas se hai tadkhi hui teri zubaan
Qushk hai tera galaa aa palat aa ay hussain

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

2. Tera har ek amal nek hai tabinda hai
Muarika huq ke liye tera ye painda hai
Sabr-e-ayub terey sabr se sharminda hai
Qatl jo huq ke liye hogaya vo zinda hai
Terey huq mein hai baqaa aa palat aa ay hussain

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

3. Tune islaam ko akbar ki jawani de di
Thi jo nana ki nishaani vo nishani de di
Nutq eimaan ko ashkon ko ravani de di
Qatm jo ho naa sakegi vo kahaani de di
Naam uncha hai tera aa palat aa ay hussai

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

4. Subh-o-se tune kaen laashe uthaye hai hussain
Zakhm par zakhm har ek gaam pa khaye hai hussain
Dushman-e-deen bohut tujhko satae hai hussain
Khanjaro tegh-o-sinaa tujh pa chalae hai hussain
Tune har zulm sahaa aa palat aa ay hussain

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

5. Laash-e-qasim ke rakhe tukde abaa mein tuney
Wakf ki apni zubaan humdosana mein tuney
Ghar kiya apna fida rahe khudaa mein tuney
Zulm kya kya na sahe karbobala mein tuney
Kar diya waada wafaa aa palat aa ay hussain

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

6. Hogaya qatm har ek nasir-o-yaawar tera
Tera qasim hai na ab hai ali akbar tera
Aun hai aur na mohammad hai na asghar tera
Sogaya nehr pa abbas-e-dilawar tera
Tu akela hai khada aa palat aa ay hussain

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

7.aa merey paas mohammad ke nawase aaja
Ay merey teen shabo roz ke pyaase aaja
Jaanib-e-arshe bareen karbobala se aaja
Ab to milne ke liye apne khuda se aaja
Mera sab kuch hai tera aa palat aa ay hussain

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

8. Tera noha terey akhtar ne likha hai shabbir
Terey irfan ne noha ye padha hai shabbir
Majlis-e-gha mein ajab hashr bapaa hai shabbir
Ye bhi ek tera karam teri aata hai shabbir
Deke ummat ko dua aa palaty aa ay hussain

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x3