Syed Ikram Akbar Bukhari

Syed Ikram Akbar Bukhari’s Biography:
Syed Ikram Akbar Bukhari is from Muzaffarabad, Azad Kashmir, Pakistan. National Youth 2008 award holder from Government of Pakistan in the field of naats. First prize holder of Kul Pakistan Muqabla e Naat 2002, and 2006. In 2007, Qtv Pakistan released his audio and video CDs titled “Jashn e Milad e Mohammad Hay Manao Logo”. August 1, 2009, Received his Youth Award 2008 from Farooq H Naik (Chairman, Senate of Pakistan).

  • Wah Kiya Joodo Karam

    Wah Kya Judo Karam Lyrics

    Wah Kia Jood-o-Karam Hai Shah-Aey Batha Teyra
    Nahin Sunta Hee Nahin Maang-Nay Waala Teyra

    Mein Tou Malik Hee Kahoonga Kay Ho Malik Kay Habeeb
    Ya’anee Mehboob-o-Muhib Mein Nahin Meyra Teyra

    Wah Kia Jood-o-Karam…

    Tery Sarkaar Mein Laata Hai Raza Uss Ko Shafe’e
    Joe Meyra Ghaus Hai Aur Laadla Beyta Teyra

    Wah Kiya Jood-o-Karam…

    Teray Qadmon Mein Joe Hai Ghayr Ka Moon Kia Dekhayn
    Kon Nazron Pe Charr-Hay Dekh Kay Talwa Teyra

    Wah Kia Jud-o-Karam…

    Teray Tukron Pey Palay Ghayr Ki Thokar Pey Na Daal
    Jhirkiyan Khaayein Kahan Chor Kay Sadqa Teyra

    Wah Kiya Jud-o-Karam…

    Aik Mein Kia Meray Isi’ayan Kee Haqeeqat Kitnee
    Mujh Say Sou Laakh Ko Kaafi Hai Ishara Teyra

    Wah Kya Jud-o-Karam…

    Farsh Waalay Tery Shaukat Ka U’lu Kya Dekhein
    Khusrawa Arsh Pay Urrta Hai Phareyra Teyra

    Naat Information

    Recited By: Syed Ikram Akbar Bukhari
    Written By: Maulana, Shah, Ahmed Raza Khan Barelvi (RA)

     

  • Mujh Pey Be Chashme Karam

    Mujh Pey Be Chashm E Karam Lyrics

    Mujh pay bhi chashme karam aay meray aaqa karna
    Haq to mera bhe hay rehmat ka taqaza kerna.

    Ye tera kam hay aay aamna kay dure yateem
    Sari ummat ki shafaat tan e tanha karna
    Chand ki tarha teray gird woo tarun ka hujum
    Wo tera halqa e ashab main betha karna.

    Mujh pay mahshar main naseer unki nazar par hi gai
    Kahnay walay isay kahtay hain khuda ka karna.

    Too kisi ko b uthata nhn apnay dar say
    Kay teri shan k shayan nhn aisa karna.

    Main hun be kas tera shewa hay sahara dena
    Main hun beemar tera kam hay acha karna.

  • Mere Aaqa Ki Shaan Lyrics – Syed Ikram Akbar Bukhari

    Meray Aaqa Ki Sab Say Bari Shaan Hai Lyrics

    Unpay jaan aur dil sab hi qurba hay
    Meray aaqa ki sab say bari shaan hay .

    Kis main dam hay jo Taiba ko khud ja sakay
    Woh bula lain to unka yeh ehsan hai.

    Aarzo hay farishtoon say aaqa kahein
    Choor do isko mera sana khawan hay.

    Mujh sa aasi bhi mahshar main bakhsha gaya
    Unkay jood o karam ka yeh faizan hay.

    Lab nahin ashq madha sarai karein
    Aik aashiq ki yehi to pehchan hai.

    Mein bhi naatein likhoon, main bhi naatein parhoon
    Aik aasi ka mudat say armaan hai.

    Unki toseef bas main teray hay kahan
    Tu to adna sa Tahir sana khawan hay.

    Tum parho unpay har dam Durood o Salam
    Meray Rub ka bhi yahi to farman hay.

  • Mar Kay Apni Hee

    Mar K Apne Hi Aadaun Pay Lyrics

    Mar kay apni hi aadaun pay amar ho jaun
    Unki dahleez kay qabil main agar hoo jaoon.

    Zindagi nay to samandar main mujhay phenk diya
    Apni muthi main wo lay lain to gohar hoo jaun.
    Mera mehboob hai woh rah bare kono makan
    Jis ki aahat bhi mein paloon to Khizar ho jayoon.

    Zarab dun khud ko jo un say to lagun la tadaad
    Woh jo mujh main say nikal jayein sifar hoo jaun.

    Jo puhanchti rahay un tak jo rahay mehwe tawaf
    Aisi awaz banun aisi nazar hoo jaun.

    Is qadar ishq e Nabi hoo kay mita doon khud ko
    Is qadar khouf e Khuda hoo k nidar hoo jaun.

    Aarzo ab to Muzaffar jo koi hay to yee hay
    Jitna baqi houn madinay main basar ho jaun.

  • Karam Kay Aashiyanay Ki Lyrics – Syed Ikram Akbar Bukhari

    Karam kay aashiyanay ki kia baat hai
    Aap kay aastanay ki kya baat hay.

    Fatima o Ali phir Hussain o Hassan
    Mustafa k gharanay ki kia baat hay.

    Haazri ko chala hay madinay ki tu
    Dosta teray janay ki kia baat hai.

    Waq e aakhir bhi hai, woh bhi hain samnay
    Aie kaza teray aanay ki baat hai.

    Kitnay nanay bhi hain, aur nawasay bhi hain
    Ibn e Haider kay nanay ki kia baat hay.

    Tak kay bolay nakirain hakim mujhay
    Mustafa kay diwanay ki kia baat hay.

    Aik ghar jo milay shehray sarkar main
    Phir to aisay thikanay ki kia baat hay.

    Naat & Video Information
    Naat Khawan: Syedf Ikram Akbar Bukhari
    Album: Jashn-e-Millad
    D.O.P: Rana Akram
    Editor: Abdul Razaque Solangi
    Producer: Syed Sabihuddin Rehmani
    Director: Kashif Mughal

  • Jashn e Milad e Mohammad Hai Manao Logo Lyrics

    Jashne milad e Mohammad hay manao logo
    Marhaba salay aala jhoom kay gao logo.

    Waqt e maulood sitaray bhi umad kar aaye
    Tum bhi ghar bar charagun say sajao logo.

    Qudsiyun nay bhi qataroon say sajaya hay falaq
    Tum bhi ghar kucha gali shehar sajao logo.

    Sar qadam apna bana kay chalo taiba ki taraf
    Un kay darbar main qismat say jo jao logo.

    Mehfil e naat main bethay hoo muhabat say agar
    Choro sharmana zara jhoom kay gao logo.

    Qisa e hoor bhi apni jagah per acha
    Mujh ko aaqa ki koi baat batao logo.

    Itna Tahir bhi samajh paya hay ab ja kay kahin
    Jashan ho aaqa ka phir dhoom machao logo.