Shahbaz Qamar Fareedi

  • Zameen Maili Nahin Hoti, Zaman Maila Nahin Hota Lyrics

    Zameen maili nahi hoti, zaman maila nahi hota
    Zameen mali nahi hoti, zaman maila nahin hota
    Muhammad (SAW) kay gulamon ka kafan maila nahi hota.
    Mohabbat Kamli wale say, woh jazba hai suno logo
    Yeh jis man main sama jaaye, woh mann maila nahi hota.

    Muhammed (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.

    Gulon ko choom laite, hain seharnam shabnami qatre
    Nabi (SAW) ki naat sun lein tu, chaman maila nahi hota.

    Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.
    Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.

    Jo Naam-e-Mustafa (SAW) chumein, nahi dukhti kabhi ankhein
    Pehen le pyaar jo Unka, badan maila nahi hota.

    Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota

    Nabi (SAW) ka daman-e-rehmat pakar lo aey jahan walo
    Rahe jab tak yeh hathon main, chalan maila nahi hota.

    Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota

    Main nazan tu nahi fanpan magar Nasir yeh dawa hai
    Sana-e-Mustafa (SAW) karne se fan maila nahi hota.

    Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.

    Naat Information:
    Naat Reciter: Shahbaz Qamar Fareedi
    Album: Naat Kay Rung
    Album: Sabz Gumbad Walay

  • Karlo Khidmat Maa Di Lyrics

    Paak Muhammed nay farmaya, tusi karlo khidmat maa di.
    Jisnay Kaaba takna howay, oh taklay surat maa dee.
    Oh pai paiyaan day dushmaan hounday, tay bhai bhaiyaan diyaan bawaan,
    Tay baap siraan day oh taj Muhammad, tay mawaan thandiyaan chawaan.

    Khoob say khoub Madinay ka safar lagta hai, zara us khak ka phir ashkay qamar lagta hai,
    Khoob say khoub Madinay ka safar lagta hai, pyaar karta hai Nayazi yeh zamana mujhsay,
    Pyaar karta hai Nayazi yeh zamana mujhsay, yeh meri maan ki duaoon ka asar lagta hai.

    Uchiyaan lambiyaan aie taliyaan, tay ghaniyaan jinhaan diyan chawan,
    Har eik cheese bazaroon labdi, par nahin labdiyaan nay mawaan.
    Pyaar karta hai Nayazi yeh zamana mujhsay, yeh meri maan ki duaoon ka asar lagta hai.

    Pyaar karta hai Nayazi yeh zamana mujhsay…
    Shahoon say mila hai, na tawangar (ghani)/(rich) say mila hai
    Allah ka irfaan usi ghar say mila hai
    Jiko bhi mila hai, toh muqadar say mila hai
    Mujh ko to mukadar bhi usi ghar say mila hai.
    yeh meri maan ki duaoon ka asar lagta hai..
    Pyaar karta hai Nayazi yeh zamana mujhsay, yeh meri maan ki duaoon ka asar lagta hai.

    Azmataan ki mein sunawaan maa diyaan, tar dendiyaan nay duawan maan diyaan,
    Yeh meri maan ki duaoon ka asar lagta hai, Yeh meri maan ki duaoun ka asar lagta hai.

    Lyrics Information
    Recited By: Shahbaz Qamar Fareedi
    Written By: Niyazi

  • Naat Sarkar (SAW) Ki Parta Hoon Mein Lyrics

    Naatein Sarkar Ki Parta Hoon Mein
    Bas Issi Baat Say Ghar Mein Meri Rahmat Hogi
    Ik Tera Naam Waseela Hei Mera
    Ranj O Gham Mey Bhi Issi Naam Sey Rahat Hogi.

    Ye Suna Hey Kay Bahot Ghor Andheri Hogi
    Qabar Ka Khowf Na Rakna Ey Dil
    Wahan Sarkar E Madina (Do-allam) Ki Ziarat Hogi
    Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein
    Bas Issi Baat Say Ghar Mein Meri Rahmat Hogi.

    Unko Mukhtar Banaya Hey Merey Mola Ney
    Khuld Mein Bas Wahi Ja Sakta Hein
    Jisko Hasnain Kay Baba Ki Ijazat Hogi
    Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein
    Bas Issi Baat Say Ghar Mein Meri Rahmat Hogi.

    Hashr Ka Din Bhi Ajab Deykna Vala Hoga
    Zulf Lehra Key Woh Jab Ayengey
    Phir Qiyamat Mein Bhi Ik Aur Qiayamat Hogi
    Zulf Lehra Kay Woh Jab Ayengey Moray Arbi Sawaariya
    Zulf Lehra Kay Woh Jab Ayengey
    Phir Qiyamat Mein Bhi Ik Aur Qiayamat Hogi
    Ik Tera Naam Waseela Hei Mera Ya Rasoolallah
    Ik Tera Naam Waseela Hei Mera
    Ranj O Gham Mey Bhi Issi Naam Sey Rahat Hogi.

    Mera Daman to Gunaho Sey Bhara Hey Iltaf
    Ik Sahara Hey Kay Mein Unka Hoon
    Issi Nisbat Sey Sar-e-hashr Shifa-at Hogi.
    [- Inshallah -]

    Ik Tera Naam Waseela Hei Mera
    Ranj O Gham Mey Bhi Issi Naam Sey Rahat Hogi.

    Yeh Naam Kio Kaam Bgharnay Nahi Deta
    Bhigray Bhi Bana Deta Hai Bas Nam-E-Mohammad
    Ik Tera Naam Waseela Hei Mera
    Ranj O Gham Mey Bhi Issi Naam Sey Rahat Hogi.

    Naat Information:
    Naat Reciter: Shahbaz Qamar Fareedi

  • Koay Nabi Se Aa Na Sake Hum

    Karlo Khidmat Maa Di Lyrics

    Koay Nabi (SAW) se aa na sake hum,rahat hi kuch aisi thi
    Ko-e-nabi se aaa na sake hum,rahat hi kuch aisi thy
    Yaad rahee na jannat humko, jannat hi kuch aisi thee
    Yaad rahi na jannat humko, jannat hi kuch aisi thi.

    Takkte rahein Yousaf jaise bhi, hashr main unke chehre ko
    Takkte rahe yousaf jaise bhi hashr main unke chehre ko
    Jab poocha tu kehnay lagay woh, surat hi kuch aisi thee
    Jab poocha tu kehne lage woh, surat hi kuch aisi thee.

    Yaad rahi na jannat humko, jannat hi kuch aisi thee.

    Bolo aey Jibreel ke unki, kyun kar taliyan choomi thein
    Tu kehne lage Jibreel ke, unki azmat hi kuch aisi thee
    Kehne lage Jibreel ke, unki azmat hi kuch aisi thee.

    Yaad rahee na jannat hum ko, jannat hi kuch aisi thee
    Yaad rahee na jannat hum ko, jannat hi kuch aisi thee.

    Duniya mein, Sarkaar (SAW) ki naatein, parhtay rahein har eik lamha
    Qabr mein beti naat labhoon par, aadat hi kuch aisi thi.
    Qabr mein beti naat labhoon par, aadat hi kuch aisi thi.

    Yaad rahi na jannat humko, jannat hi kuch aisi thee.

    Pass bulaya, pass bithaya, arsh pe unko Khaliq nay
    Yeh to akhir hona hi tha, chahat hi kuch aisi thee
    Yeh to akhir hona hi tha, chahat hi kuch aisi thee.

    Yaad rahee na jannat humko, jannat hi kuch aisi thee.

    Akbar-o-Asghar, aur yeh Ghazi, deen pe warein hans hans kar
    Yoon lagta hai, deen-e-Nabi ki, keemat hi kuch aisi thee
    Yun lagta hai deen-e-nabi ki, keemat hi kuch aisi thee.

    Kabr main Hakim jab puhanche to hans ke nakeeron ne dekha
    Kyon na farishte pyaar say milte, nisbat hi kuch aisi thee
    Kyon na farishte pyaar say milte, nisbat hi kuch aisi thy.

    Yaad rahee na jannat humko, jannat hi kuch aisi thee
    Yaad rahee na jannat humko, jannat hi kuch aisi thee.

    Ko-e-nabi se aaa na sake hum,rahat hi kuch aisi thee
    Ko-e-nabi se aaa na sake hum,rahat hi kuch aisi thee.

    Naat Information:
    Naat Reciter: Shahbaz Qamar Fareedi
    Album: Naat Kay Rung
    Album: Sabz Gumbad Walay

  • Idhar Hazaroon Nabi o Mursal Lyrics

    Idhar hazaroon Nabi o Mursal, udhar Woh tanha khare huway hain,
    Hamarey Aaqa to apne rutbay mein sab say aagay barhay huey hain.

    Kareem Aaqa kay aik tukray nay pal rakhi hai sari duniya,
    Jabhi to shah o gada tamami unhi kay dar pay paray huay hein.

    Koi to bolay jisay khuda nay nahin diya hai Nabi ka sadqa,
    Hamaray bachay to Mustafa kay hi tukray kha kay barhay huway hain.

    Hamaray daman mein kuch nahi hai agar hai Aaqa to ishq Tera,
    (Hamaray daman mein kuch nahi hai jo hai Aaqa to ishq Tera)
    Issi liye to faqeer Teray, teri gali mein parhay huway hain.
    (Issi liye to faqeer saray, teri gali mein parhay huway hain)

    Gaye na ik din skool lekin, jahan ko to sab sikha diya hai,
    Kahan say parhtay, yeh kis say parhtay, Khuda say aakhir parhay huway hein.

    Yahan to lakhoon sikandaroon ka na bans baki na bansuri hai,
    Magar hamaray Nabi kay jhanday, azal kay din say gharay huway hain.

    Ali kay ghar ki na pucho azmat, yeh ghar anokha hai sab say NASIR,
    Nabi ki Zahra kay dar per qudsi bhi sar jhukaye kharay huway hain.

  • Aaqa Meriyan Akhiyan Madine Wich Reh Giyan Lyrics

    Oh shehar madina jad main takeya
    Mere thand pai gayi vich sinay
    Othay main reh ke aa gaya sadiq
    Akhan reh giyan shehar madinay

    Aaqa meriyan akhiyan madine wich reh gayan
    Muk gaya visa tay judaiyan phir pai gaiyan

    Tusan te menoon dar te sadeya, Wele Mainu shehroon kadiya
    Tere dar diyan sohniyan yaadan, Aaqa mera saath na chadeya
    Nit diyan sochan hun, jind meri legaiyan

    Aabe Zamzam peende reyan, do din sukh naal jeende reyan
    Tere ghar di chaukat de assi, mangte roz sadende reyan
    Mangiyan muraadan si jo, chauli meri pai gaiyan

    Phir main wekhan roza tera, soh rab di dil karda mera
    Je kidre manzoori howe, laalaan othe pakka dera
    Lakhan majburiyan ne, rawan wich pai gaiyan

    Aaqa teri shaan nu wekhan, chuk de kul jahaan nu wekhan
    Jere tere kol ne suthe, Umar, Siddique, Usman nu wekhan
    Jina tere kadman wich, thaawan aaqa le laiyan

    Jad main takya sher e madina, roshan hogeya mera seena
    Soh salaan tu wadh lagda si pawein si oh ik maheena
    Sadiq Ghumbad e Khazra tak ke, tandan mainoon pai gaiyan

    Aaqa meriyan akhiyan madine wich reh gayan
    Muk gaya visa te judaiyan phir pai gaiyan