Nadeem Sarwar Nohay Lyrics

Nadeem Sarwar’s Biography: 
Nadeem Sarwar is a son of (Late) Syed Asrar Hussain Rizvi and Syeda Nargis Khatoon of Karachi, Pakistan.

 • Pyaare Nabi Ki Pyaari Nawaasi Lyrics

  Shaam ko qaidi ban kay chali hai x3

  Pyaare Nabi Ki Pyaari Nawasi
  Shaam ko qaidi ban ke chali he
  Sabr ki malka zehra ki pyaari
  Sham ko qaidi ban ke chali he

  Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai x2

  Dekh rahi he koi to aaye, shaana pakar kar kaash bithaaye x2
  Na he sawaari na he amaari, Shaam ko qaidi ban ke chali he

  Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai x2

  Bhaai bhateeje bhaanje bete, Saath watan se aayi thi lekar x2
  Haaye muqaddar aaj akeli, Shaam ko qaidi ban ke chali he

   

  Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai x2

  Beton ko sadqa bhaai pe karke, jisne kiye the shukr ke sajda x2
  Chhor ke tanha laash ko uski, Shaam ko qaidi ban ke chali he

  Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai x2

  Jiski kaneezein nikle na baahar, balwe mein laaye usko sitamgar x2
  Haaye ye ghurbat binte ali ki, Shaam ko qaidi ban ke chali he

  Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai x2

  Kitne hi qaidi jitney churaye, aaj woh bibi sar ko jhukaaye x2
  Eik rida ki ban ke sawali, Shaam ko qaidi ban ke chali he

  Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai x2

  Socho woh manzar Sarwar-o-Rehan, bhaai ho jiska waarise quran x2
  Kaise woh bibi ashk bahaati, Shaam ko qaidi ban ke chali he

  Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai x2

   

 • Kya Mohammad Ka Pyara Nahin Houn Lyrics

  Mujhe pay kyun band karte ho paani

  Ya Hussain x3
  Mera nana Nabi, meri maa Sayyada
  Mera baba Ali, mera bhai Hasan
  Hum hi hein Panjatan
  Meri kya he khata, mujhpe kyun band karte ho pani
  Kiya Muhammad ka pyara nahin hun
  Kya mein Zahra ka jaya nahin hun x3
  Kya Nabi ka nawasa nahin hun

  1. Mere nana ne kalma sikhaya
  Aur quran tumko sunaya x2
  Kya ma nana ka saaya nahin hun x3
  Kya nabi ka nawasa nahin hun
  Mujhpe kyun band karte ho pani
  Kya Muhammad ka pyara nahin hun

  2. Who madina jahaan mera ghar he
  Aur masjid mein us ghar ka dar he x2
  Kya mein us ghar mein khela nahin hun x3
  Kya nabi ka nawasa nahin hun
  Mujhpe kyun band karte ho pani
  Kya Muhammad ka pyara nahin hun

   

  3. Chakkiya pees kar maan ne paala
  Mujhko nana ne jhula jhulaya x2
  Apna bachpan mein bhula nahin hun x3
  Kya nabi ka nawasa nahin hun
  Mujhpe kyun band karte ho pani
  Kya Muhammad ka pyara nahin hun

  4. Kamli wale ke lab chumta tha
  Kitna pyara mera bachpana tha x2
  Kya mein unka dulhara nahin hun x3
  Kya nabi ka nawasa nahin hun
  Mujhpe kyun band karte ho pani
  Kya Muhammad ka pyara nahin hun

  5. Mein jo paani kabhi maangta tha
  Kyun tarapti thi maa ab mein samjha x2
  Paas asghar ke jaata nahin hun x3
  Kya nabi ka nawasa nahin hun
  Mujhpe kyun band karte ho pani
  Kya Muhammad ka pyara nahin hun

  6. Mein jo chahun baras jaaein badal
  Khun mein duba nazar aaye maqtal x2
  Jang karne mein aya nahin hun x3
  Kya nabi ka nawasa nahin hun
  Mujhpe kyun band karte ho pani
  Kya Muhammad ka pyara nahin hun

  7. Ik sada thi ye Rehaan-o-Sarwar
  Kehrahe the Hussain ibne haider x2
  Kya mein mehman aaya nahin hun x3
  Kya nabi ka nawasa nahin hun
  Mujhpe kyun band karte ho pani
  Kya Muhammad ka pyara nahin hun
  Kya mein zahra ka jaya nahin hun x3
  Kya nabi ka nawasa nahin hun

 • Baraye Dil e Dukhtar Lyrics

  Haye Hussaina, vaye Hussaina,
  Ay vaye Sakina, aie vaaye Sakina.

  Yeh rukhsat e aakhir hai pukaray shah e wala,
  Aie Zainab o Kulsum Rabab aur Ruqaya,
  Tum sab pay salaam akhri Allah ko sonpa,
  Lipti huyi qadmoon say yeh kehti thi Sakina.

  Aie kul ke madadgar madad karne ko aao,
  Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao.

  Baba na kaho baba, tum saath raho baba,
  Kuch hum say suno baba, aagay na barho baba,
  Aaram karo baba, baray e dil e dukhtar,
  (baraye dil e dukhtar – for the sake of your daughter)
  (baraye dil e dukhtar – baiti kay dil kay liye)
  Baraye dil e in dukhtar, khaimoon mein chalo baba.

   

  Aie kul ke madadgar madad karne ko aao,
  Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao.

  Juyam bay kuja baba, dar dasht to ra baba?
  (Where should I look father, where in the desert are you?)
  (Kahan dhundu baba, tumhein is dasht mein baba?)
  Nazdam to biya baba, yaad az in wafa baba,
  (Come close father, give me your love and affection)
  (Nazdeek aa jao baba, izada wafa mujhe day do)
  Lutfan benuma baba, baraay e dile dukhtar,
  (For the sake of loyalty, for the sake of your daughter)
  (Apna lutf o karam, baiti ke dil ke liye)
  Baraaye dil e dukhtar, ay baba ma ro baba.
  (For the sake of this daughter, come back father)
  (Is baiti ke dil ke liye, wapas aa jao father)

  Aie kul ke madadgar madad karne ko aao,
  Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao.

  Mein jan gayi baba, pehchan gayi baba,
  Qurbaan gayi baba, talwaroon mein jao gay,
  Phir tum bhi na aao gay, baraye dil e dukhtar,
  (baraye dil e dukhtar – for the sake of your daughter)
  (baraye dil e dukhtar – baiti kay dil kay liye)
  Baraye dil e dukhtar, tum hum ko na tarpana.

  Aie kul ke madadgar madad karne ko aao,
  Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao.

  Aaya dukhtar e nistam? yekhta gohar e nistam?
  (Am I not your daughter? Am I not a priceless gem?)
  (Kiya mein aapki beti nahin houn? kiya yakta gohar nahin hoon?
  Noor e nazarat e nistam? ya hamsafar e nistam,
  (Am I not the light of your eyes? or, am I not a fellow traveller?
  (Noor e nazar nahin hoon? ya humsafar nahin houn?)
  Gar bargardi man nistam, baray e dil e dukhtar,
  (If you go you shall not find me when you return, for the sake of your daughter)
  (Agar gaye to wapas mein mujhe nahin pao gay, beti kay dil kay liye)
  Baraay e dil e dukhtar, bargard o biya baba.
  (For the sake of this daughter, come back father)
  (Iss baiti ke dil ke liye, wapas aa jao baba)

  Aie kul ke madadgar madad karne ko aao,
  Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao.

  Baba aie mere baba, lazim hai agar jana,
  Yeh hum say karo wada, jab shab ka ho san’nata,
  Aur meri sada suna, baraye dil e dukhtar,
  (baraye dil e dukhtar – for the sake of your daughter)
  (baraye dil e dukhtar – baiti kay dil kay liye)
  Baraaye dile dukhtar, tum lot kay aa jana.

  Aie kul ke madadgar madad karne ko aao,
  Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao.

  Babaye mani baba, lazim shud e gar raftan,
  (O my father, O father if it is necessary to go)
  (Baba aie mere baba, lazim hai agar jana)
  In waadey e ma bashad, dar tarikiy e shab ha,
  (Make a promise to me, when darkness spreads of night)
  (Aik wada mujh say karo, jab raat ki tariki cha jaye)
  Bishnu chun sada e man, baraay e dil e dukhtar,
  (And you listen to my cry, for the sake of your daughter)
  (Aur meri sada suno, baiti kay dil kay liye)
  Baraay e dil e in dukhtar, baaz aayi baraay e maan
  (For the sake of this daughter, come back father)
  (Is baiti kay dil kay liye, wapas aa jao baba)

  Aie kul ke madadgar madad karne ko aao,
  Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao.

  Sheh bolay Sakina jaan, sou jaan say main qurban,
  Is tarha na ho giryan, eik wada nibhana hai,
  Eik qarz purana hai, baraye dil e dukhtar,
  Baraay e dil e baba, tum aaj dua karna.

  Aie kul ke madadgar madad karne ko aao,
  Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao.

  Pursa hai paye e maula, Rehan o Ali Jee ka,
  Kartay the haram noha, Sarwar nay kaha baiti,
  Sa’at hai judayi ki, baraay e dil e dukhtar,
  Baraay e dil e baba, maqtal na chali aana.