n

  • Naat Sarkar Ki Parhata Hoon Mein Lyrics

    Naat sarkar ki parhata hoon mein
    Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi
    Ik tera naam waseela hey mera
    Ranjo o gham main bhi isi naam say rahat hogi

    Yeh suna hai kay bohat gaur andheri hogi
    Qabr ka khauf na rakhna aie dil
    Wahan sarkar kay chehray ki ziarat hogi

    Naat sarkar ki parhata hoon mein
    Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

    Kabhi yaseen kabhi tauha kabhi walail aaya
    Jis ki kasmein mera Rab khata hai
    Kitni dil kash meray mehboob ki surat hogi.

    Naat sarkar ki parhata hoon mein
    Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

    Hashar ka din bhi ajab dekhnay wala hoga
    Zulf lehra kay woh jab aayein gay
    Phir qayamat pay bhi khud aik qayamat ho gi

    Naat sarkar ki parhata hoon mein
    Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

    Un ko mukhtar banaya hai meray Allah nay
    Khuld main bas wohi jaa sakta hai
    Jisko Hasnain kay nana ki ijazat ho gi.

    Naat sarkar ki parhata hoon mein
    Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

    Do jahan main usay phir koun panah main lay le ga
    Ho ga ruswa wo sar-e-hashr jisay
    Syeda Zahra kay bachoon say adawat hogi.

    Naat sarkar ki parhata hoon mein
    Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

    Unki chokhat pay pare hain to bari mauj main hain
    Laut kay aayein gay jab us dar say
    Meray dil tu hi bata kiya teri halat ho gi.

    Naat sarkar ki parhata hoon mein
    Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

    Rushk say dur kharey dekhtay houn gay Zahid
    Jab sar e hashr gunahgaroon par
    Meray aaqa ka karam ho ga inayat ho gi.

    Naat sarkar ki parhata hoon mein
    Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

    Mera daman to gunahoon say bhara hai Altaf
    Ik sahara hai kay hum teray hain
    Isi nisbat say sar e hashar shafa’at ho gi.

    Naat sarkar ki parhata hoon mein
    Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

  • Noor Wala Aya Hai Lyrics in Urdu & Roman English

    Noor wala aya hai, noor lay ker aya hai
    Saray aalam pay yeh daikho kaisa noor chaya hay.

    noor wala aya hai
    Noor wala aya hai, noor lay ker aya hai
    Saray aalam pay yeh daikho kaisa noor chaya hay
    Assalatu wassalamu ‘alayka Ya Rasulallah
    Assalatu wa as-salamu ‘alayk’alayka Ya Habib Allah.
    jab talak yeh chand taray
    Jab talak yeh chand taray jhil milatay jayein gay
    Tab talak jashn e wiladat hum manatay jayein gay.
    naat e mehboob e khuda suntay
    Naat e Mehboob e Khuda suntay sunatay jaein gay
    ya Rasulallah ka nara lagatay jaein gay.
    char janib hum diye ghee kay
    Char janib hum diye ghee kay jalatay jaien gey
    Ghar to ghar saray mohalay ko sajatey jaien gey.
    eid e milad un nabi ki shab
    Eid e Milad un Nabi ki shab e charaghan kar kay hum
    Qabar noor e Mustafa say jagmagatay jayein ghay.
    tum karo jashn e wiladat ki khushi
    Tum karo jashan e wiladat ki khushi main roshani
    Woh tumhari gor teera jagmagatay jayein ghay.
    hashr mein zairay liwae hamd
    Hashr mein zairay liwae hamd aye Attar hum
    Naat e Sulatan e Madina gun’gunatay jayein gay.

    Naat Lyrics Information
    Naat Khawan: Farhan Ali Qadri
    Naat: Noor Wala Aya Hai
    Album: Noor Wala Aaya Hai
    Album Subtitle: Marhaba Ya Mustafa
    Released: Heera Stereo
    Audio: Heera Studio
    Language: Urdu

  • Naseeba Khol De Mera Lyrics

    Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah tera
    Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah tera
    Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah tera

    Kaddi o ghariyan vee avan, Madinay ral mil jawan
    Mey naata parda parda, mey veyka rouzah tera
    Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah tera
    Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah tera

    Mey veyka rouzay dee jaali, o jaali karma wali
    Dikha de meynu khuda ra, mey veyka rouzah tera
    Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah tera
    Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah tera

    Ghouas piya ka sadqa, Khwaajah Fareed da sadqa
    Way qutb Madiney da sadqa, mey veyka rowa tera
    Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah tera
    Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah tera

    Khabar kadun bulana, meynu mehboob Madiney
    cheytee sadlo aaqa, mey veyka rouzah tera
    Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah tera
    Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah tera

    Madina lagta hey piyaara, Madina dil da sahara
    Madina le chal meynu, mey veyka rouzah tera
    Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah tera
    Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah tera

    Ik wari jaa key Madiney, murna fir main aawan
    Soney tey dar tey jaa key, mey veyka rouzah tera
    Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah tera

    Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah tera.

    Naat Information:

    Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
    Album: Aa Gaye Sarkar
    Producer: Muhammad Ali Qadri
    Release: M.F. Stereo

  • Na Ho Aram Jis Bimar Ko Lyrics

    Na ho aram jis bimar, ko saarey zamaaney say
    Utha ley jaaey thori khak unkey aastaney sey

    Tumharey dar, ke tukron sey, bara palta hai ik aalam
    Guzaara sab ka hota hey, issee muhtaj khaaney sey.

    Koi firdous ho ya khuld ho, hum ko ghalat mutlab
    Lagaya ab to bistar aap hee key aastaney sey.

    Na kyun un kee taraf Allah, so so piyaar sey deykey.
    Jo apni aankey maltey hain, tumhaarey aastaney sey.

    Tumhaarey to woh ihsaan aur na-farmaaniyan apni
    Hamein to sharam see aathi hai tum ko munh dikhaaney sey

    Bahaarey khuld sadqey ho rahi hey ruuh-e aashiq par
    Killi jaatee hain kaliyan dil, teree muskaraney sey

    Zamin thori see dey dey bahr-e madfan un key kuchey may
    Laga dey merey piyaaray meri mittee bhi tikaaney sey

    Falak ka hai jo zaahir uss sey kehta hai naseeb us ka
    Arey ghaafil kaza behtar,yahaan say phir ke jaaney sey

    Bulalo apney dar par ab, to hum khaanah nadoshoo ko
    Phirey kub tak zaleel-o khwaar be dar dar tikaaney sey

    Na pahunchey un key kadmoh tak, na kuch husn-e amal hee hey
    Hassan kiya puchtey ho hum gayeh guzrey zamaaney sey

    Na ho araam jis bimaar, ko saarey zamanay sey
    Utha ley jaaey thori khaak unkey aastaney sey.

    Naat Information:

    Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
    Album: Aa Gaye Sarkar
    Producer: Muhammad Ali Qadri
    Release: M.F. Stereo

  • Noor Wala Aaya Hai Lyrics in Urdu & Roman English

    Har zara jagmagaya hai kay noor wala aaya hai
    Har sue ujala chaya hai kay noor vala aya hain

    Har zara jagmagaya hai kay noor wala aaya hai

    Thi muntizar yeh dunya jis shah e wala ki
    Jinn o bashar nay gaya hai kay noor wala aaya hai
    Thi muntizar yeh dunya jis shah e wala ki

    Thehri hui thein nudyan, jo aaj chal pari hain
    Barah Rabi ul awal ko noor wala aaya hai
    Thehri hui thein nudyan jo aaj chal pari hain

    Ghar ghar charaghan karlo, aamad hai aaqa ki
    Har dil nay khushi say gaya hai kay noor wala aaya hai
    Ghar ghar charaghan karlo aamad hai aaqa ki

    Yeh aaj khushiyon ka mosam hai arsh o farsh per
    Naray lagay hain aamad kay haan noor wala aaya hai
    Yeh aaj khushiyon ka mosam hai arsh o farsh per

    Taiba ka chand chamka jo rehber hai hum sub ka
    Aaqa ko hum nay paya hai, kay noor wala aaya hai
    Taiba ka chand chamka jo rehber hai hum sub ka

    Kar khush sukhan ali ko aie Rab e Zuljilal
    Jis nay lagaya nara hai kay noor wala aaya hai
    Kar khush sukhan ali ko aie rab e zuljilal

    Naat Lyrics Information
    Naat Khawan: Muhammad Farhan Ali Qadri
    Album: Marhaba Ya Rasoolallah
    Naat: Noor Wala Aaya Hai
    Written By: Farhan’s big brother Mohammed Ali
    Audio Rec By: M Umer Qurashi
    Edit: Shaaz Shaikh
    Directed By: Kashif Mughal
    Produced By: QTV Pakistan