Mohammad Tahir Qadri Lyrics

  • Koi Aaye Koi Jaye Lyrics – Mohammad Tahir Qadri

    Koyi Aaey Koyi Jaaey Lyrics

    Allah Allah, Allah Allah…..

    Zindagi mout ka nishana hai,
    Sab ko eik din yahan say jana hai.

    Koyi aaye koyi jaaey, yeh tamasha kiya hai!
    Kuch samajh main nahin aata, kay yeh dunya kiya hai.

    Aanay walay, to chaley jatay hain wapas lekin
    Yeh azaal hi say sub nay dikha hai,
    Us ki hikmat ka eik karishma hai, mernay wala kabhi nahin aata
    Janay qudrat ka kiya mu’ama hai
    Aaney waley to chaley jatay hain wapas lekin
    Janay walay nahin aatay, yeh fasana kiya hai.

    Teray ahbab, teray dost, terey ghar walay
    Baad mernay kay, teray ahbab kaam aayein gay kiya?
    Zindagi bhar ki mohabbat aik muthi khak hai.
    Teray ahbab, teray dost, terey ghar waley
    Tujhko mitti mein mila dein gay samajhta kiya hai?

    Dafan ker kay yeh tasali bhi diye jatay hain
    Rafta rafta sabhi aa jayein gay darta kiya hai?

    Do ghari royein gay ahbab teray ay Kamil
    Aina dekh kay har baat hua kerti hai
    Aamnay samnay din raat huwa kerti hai
    Baad mernay kay nahin kaber pay aata koi
    Jeetay jee sab say mulaqat hua kerti hai.

    Do ghari royein gay ahbab teray ay Kamil
    Phir hamesha ko bhula dein gay samajhta kia hai?

    Koie aaye koie jaaye yeh tamasha kia hai?
    Zindagi naam rakh diya kis nay?
    Mout ka intzaar hai dunya
    Aik lamhay main idhar say udhar
    Char din ki bahar hai duniya.

    Allah, Allah, ALLAH
    ALLAH… ALLAH… Allah!

    Nasihat Lyrics
    Naseehat Name: Koi Aaye Koi Jaye
    Artist: Hafiz Mohammed Tahir Qadri
    Cheif Executive: Ashraf Imran Sajan
    Chief Editor: Akbar Qureshi
    Assistant Editor: Mujtaba
    Post: Genius Records
    Produced By: Meem Journey

  • Chalo Namaz Parhein Lyrics – Mohammad Tahir Qadri

    Suno Aye Momino Chalo Namaz Parhein Lyrics

    Hayya ‘ala-salatt, Hayya ‘alas-salāt…..

    Suno aie momino, chalo namaz parhein
    Suno aie momino, chalo namaz parhein.

    Namaz husn e bandgi, namaz to namaz hai
    Namaz husn e bandagi, namaz to namaz hai
    Khuda ki iss mein hai khushi, namaz to namaz hai.

    Namaz say yeh mat kaho, mujhay bohat say kaam hain
    Namaz say yeh maat kaho, mujhe buhat say kam hain
    Kaho to kaam say yehi, namaz to namaz hai.

    Mosibatain na bandishain na rizk ki rukawatein
    Mosibatein na bandishein na rizq ki rokawatein
    Hai mushkaloon ka hal yehi, namaz to namaz hai.

    Tu parh namaz qabl ke teri aada namaz ho
    Tu parh namaz qabl kay teri aada namaz ho
    Guzar na jaye yeh zindagi, namaz to namaz hai.

    Namaz e panjgana tum parho ujagr e hazeen
    Namaz e panjgana tum parho ujagr e hazeen
    Karo youn Rab ki bandgi, namaz to namaz hai

    Suno aie momino, chalo namaz parhein
    Suno aie momino, chalo namaz parhein.

  • Aao Parhein Qur’an Lyrics – Mohammad Tahir Qadri

    Aao Padhein Quran Lyrics

    Aao Padhein Quran, Aao Padhein Quran
    Rab Ka Kalaam, Sacha Payaam Hai.

    Khuld Main Janay Ka Rasta Moumino Quran Hai
    Qurb E Maula Ka Wazifah, Mou’mino Qur’an Hai.

    Kyun Na Kasrat Say Kalaam E Paak Ramzan Main Parhain
    Is Mahinay Main Hee Utra, Mou’mino Qur’aan Hai.

    Rab Nay Bemaroon Ki Khatir Is Main Rakh Di Hai Shifa
    Dard Mandoon Ka Masiha, Momino Qur’aan Hai.

    Harf Kay Badlay Yaqinan Milti Hain Dus Naikiyaan
    Fazl O Bakhshish Ka Khazana, Mou’mino Quraan Hai.

    Daikh Lo Qirdar E Ahmad Khol Kar Qur’aan Ko
    Aap Ka Akhlaq Sara, Momino Kuraan Hai.

    Kyun Larein Aapas Main Rub Nay Bhai Bhai Ker Diya
    Aik Hi Apna Sahifah Mumino Kuran Hai.

    Bakhshishoun Kay Wastay Youn Hi Ujagar Umar Bhar
    Tum Tilawat Kartay Rehna Mouminou Qur’aan Hai.

    Aao Parhain Qur’aan, Aaou Parrhain Qur’aan
    Rub Ka Qalam Hai, Sacha Payam Hai.

    Hamd Information
    Recited by: Hafiz Muhammad Tahir Qadri
    Album: Aao Sab Nabi Nabi Karein