Zameen Maili Nahin Hoti, Zaman Maila Nahin Hota Lyrics

in Shahbaz Qamar Fareedi

Zameen maili nahi hoti, zaman maila nahi hota
Zameen mali nahi hoti, zaman maila nahin hota
Muhammad (SAW) kay gulamon ka kafan maila nahi hota.
Mohabbat Kamli wale say, woh jazba hai suno logo
Yeh jis man main sama jaaye, woh mann maila nahi hota.

Muhammed (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.

Gulon ko choom laite, hain seharnam shabnami qatre
Nabi (SAW) ki naat sun lein tu, chaman maila nahi hota.

Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.
Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.

Jo Naam-e-Mustafa (SAW) chumein, nahi dukhti kabhi ankhein
Pehen le pyaar jo Unka, badan maila nahi hota.

Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota

Nabi (SAW) ka daman-e-rehmat pakar lo aey jahan walo
Rahe jab tak yeh hathon main, chalan maila nahi hota.

Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota

Main nazan tu nahi fanpan magar Nasir yeh dawa hai
Sana-e-Mustafa (SAW) karne se fan maila nahi hota.

Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.

Naat Information:
Naat Reciter: Shahbaz Qamar Fareedi
Album: Naat Kay Rung
Album: Sabz Gumbad Walay

Categories: Shahbaz Qamar Fareedi