Ya Rab Meri Soi Hui Lyrics

in Farhan Ali Qadri Lyrics, y

Ya Rab meri soi huyi taqdeer jaga day
Aankhein mujhay di hain to Madina bhi dikha de.

Sun nay ki jo quwat mujhe bakhshi hai Khuda wand
Phir Masjid e Nabawi ki azanein bhi suna day.

Huroon ki na ghilman ki na jannat ki talab hai
madfan mera Sarkar ki basti main bana de.

Mudat say mein inn hathoon say karta hoon duaein
In hathon main ab jali sunehri bhi thama day.

Moun hasher mein mujhko na chupana parhay ya Rab
Mujh ko Teray Mehboob key chadar mein chupa dei.

Ishrat ko bhi ab khushbu e Hassan aata kar
Jo lafz diye hein unhein Tu naat bana dey.

Ya Rab meri soi hui taqdeer jaga de
Ankhein mujhe di hein to Madinah bhi dikha de.

Lyrics and Video Information
Naat Khawan: Farhan Ali Qadri
Album: Noor Wala Aaya Hai
Album Subtitle: Marhaba Ya Mustafa
Naat: Ya Rab Meri Soi
Audio: Heera Stereo