Mesum Abbas Nohay Lyrics

Ya Habibi, Ya Hussain (AS) Lyrics

(Ya habibi ya hussain ya shafi ya hussain) x2 ya gharibi ya hussain
Ya hussaina ya imamal mazlumeena ya hussaina ya imamal masumeena
Ya hussaina
(Ya habibi ya hussain ya shafi ya hussain) x2
ya gharibi ya hussain

1. He was Hussain the grandson of Prophet Muhammad, salallahu alayhi wasallam
Hussain mercy upon mankind, saviour of all mankind
(Ya habibi ya hussain ya shafi ya hussain) x2
ya gharibi ya hussain

2. Rab ki raza se jisne gardan katayi, deen-e- nabi ki jisne laaj bachayi
(Har ghar mei jiska farshe matam bicha hai) x2
Roti hai jiske gham mei sari khudaai
(Ya hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata) x3

3. Mehman kar ke usko kufa bulaaya bayyat-e-yazid ka woh masla uthaaya
(Bole hussain kabhi mei naa karunga) x2
Sajde mei jisne apne sar ko kataya
(Ya hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata) x3

4. Zehra aur haider jiska jhula jhulaye, khatm-e-mursal bhi jiske naaz uthaaye
(khaali sawaali jiske ghar se naa jaaye) x2
Hal min ki deta hai woh ban mei sadaayein
(Ya hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata) x3

5. Akbar sa beta diya ghazi sa bhaayi, luti gayi hai ran mei jiski kamaayi
(Ab bhi gawa hai uski shaam-e- gharibaa(n)) x2
Apne lahu se shamma dee(n) ki jalaayi
(Ya hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata) x3

6. Koyi naa dekha hamne aisa namaazi, deen-e-nabi pe jisne har shay’ lutayi
(Phool bahatar diye raahe khuda mei) x2
Sab kuch lutake kiya Allah ko raazi
(Ya hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata) x3

7. “Jawaad-o-Mesum” uska matam hai ghar ghar, roye janaaze jisne pyaaro ke din bhar
(Phera gaya hai jiski gardan pe khanjar) x2
Chini gayi hai jiski behna ki chadar
(Ya hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata) x3
(Ya habibi ya hussain ya shafi ya hussain) x2
ya gharibi ya hussain

8. He was Hussain the grandson of Prophet Muhammad salallahu alayhi wasallam
Hussain mercy upon mankind, saviour of all mankind
(Ya habibi ya hussain ya shafi ya hussain) x2
ya gharibi ya hussain