h

  • Ho Karam Sadqey Mein Is Raat Ke Aye Rab e Azeem Lyrics

    Ho karam sadqey mein is raat ke aye rab e azeem
    Aaj ki raat hai meelad kamli waley ki
    Bhool jaoon aye khuda duniya ki main aab o hawa
    Kuch na ho yaad siva yaad kamli waley ki

    Sab ko maloom hai barsata hai tu abr e karam
    Ke karam ki tere mohtaj sari duniya hei
    Usi duniya me huwey paida tere aaj nabi
    Sadqey aamad ke ho barsat kamli wale ki

    Ye mere dil me jo thodi si hubb e duniya hai
    Dur kar de isey ye aarzoo e dil hai meri
    Ishq e ahmad meri basti e dil me bas jaye
    Dil me basti rahe aabad kamli waley ki

    Har shab o roz ye khairaat chahta hoon me haq
    Ke dar e mustafa pe haazri ho meri kabhi
    Ho safar bheekh me ataa mujhe madiney ka
    Wo jahan bant-ti hai khairat kamli waley ki

    Wo hi mehshar me khade ho ke ru ba ru e khuda
    Bakhshwaengey ummati ke sabhi jurm o gunah
    Un ko maloom hai sunta hai kareem un ki araj
    Rab nahi taalta hai baat kamli waley ki

    Ek yahi khwahish e ‘ Mehboob ‘ hai aye rabb e kareem
    Bas inaayat ho mujhe deed tere dilbar ki
    Ta-hashar ban ke firun aashiq e mehboob e khuda
    Or manata rahun meelad kamli waley ki
    Submitted by: Mehboob Makrani

  • Haleema Main Tere Muqadran Tu Sadqe Lyrics & Translation

    Haleema mein terey muqadran ton sadqay
    tu madni da jhoola julendee wee hosayn

    Haleema (Radi Allah Anha) i envy your fate
    you must have rocked the cradle of the beloved (SalAllaho Alahi WaAlehi Wasalam)

    Nee sonay da mukra noorani noorani
    Tu takdee tey raeyayn choomendee wee hosayn
    You must have gazed upon and kissed the illuminated face of the beloved

    ey unglee na paa kay tu vayray day andar
    Khuda day sajan nu turendi wee hosayn
    You must have walked holding the finger of Allah’s beloved in the courtyard

    Nee arshan da chan hai kilona wee jis da
    Tu us bey misal noon kiden dee wee hosayn
    You must have played with the incomparable one that played with the moon in the sky

    Kadee naal terey nazaqat thin sona
    O rusda wee hosee manen dee wee hosayn
    The beloved (SalAllaho Alahi WaAlehi Wasalam) must have been emotional, become upset and you must have pleased them (SalAllaho Alahi WaAlehi Wasalam) again

    Nawake sajake tey kajla wee paa kay
    Tay thoddi hila kay hasen dee wee hosayn
    you must have dressed them and (SalAllaho Alahi WaAlehi Wasalam) and then made them (SalAllaho Alahi WaAlehi Wasalam) laugh by twitching their (SalAllaho Alahi WaAlehi Wasalam) blessed chin

  • Haqeeqat Mein Woh Lutf e Zindagi Lyrics

    Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte
    Jo yaad e Mustafa se dil ko behlaya nahin kartay.

    Zaban per shikwae ranj o alam laya nahin karte
    Nabi kay naam lewa gham say ghabraya nahin karte.

    Yeh darbaar e Mohammad hai yahan apnoon ka kiya kehna
    Yahaan se hath khali gheir bhi jaya nehi karte.

    Are o na samaj qurbaan hoja Inke roze par
    Yeh lamhe zindagi me baar baar aya nehin karte.

    Yeh he darbaar e Muhammed hai yahaan milta hei bemange
    Are nadan yahaan daman ko phelaya nehi karte.

    Madinay jo bhi jata hai, woh jholi bhar kay lata hai
    Sakhi data hain khali haath lotaya nahin kertay.

    Mohammad Mustafa key bagh key sabh phool aise hain
    Jo bepani ke tar rehte hain murjaya nahi karte.

    Nadamat sath le kar hashr mein ae aasio jana
    Suna hei sharm waloon ko woh sharmaya nehi karte.

    Jo unke damaan e rehmet say wabasta hai ae Hamid,
    Kisi kay samnay woh haath phelaya nehi karte.

    Mohammad Mustafa ki shaan e rehmet to zarah dekho,
    Sittam sehte to hain lekin sittam daya nehi karte.

    Aggar ho jazba e sadiq to aksar humne dekha he,
    Woh khud tashreef le ate hain tarpaya nehi karte.

    Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte,
    Jo yaad e Mustafa se dil ko garmaya nehi karte.

    Naat Information

    Naat Khawan: Mohammad Mushtaq Qadri

  • Habeebi Ya RasoolAllah Lyrics

    Habeebi Ya RasoolAllah

    Habeebi Ya RasoolAllah, Habeebi Ya RasoolAllah

    Everytime I am troubled by a storm of burden in my life,
    your name alleviates my pain Habeebi Ya RasoolAllah.

    A lamp whose rays did reach and touch upon all corners of this scope,
    you are the light that’s in our hearts Habeebi Ya RasoolAllah.

    How can a tongue do overpraise when God Himself praises you?
    your praise will live to see no end Habeebi Ya RasoolAllah.

    In this cruel world there are those who are close to you so dear to you,
    I long to stay beneath their shade Habeebi Ya RasoolAllah.

    You’re the reason for everything existing and I supplicate,
    I live to serve your family Habeebi Ya RasoolAllah.

    In this blessed month Allah sent us a mercy to the universe,
    it truly is the greatest gift Habeebi Ya RasoolAllah

    On Judgement day when all will fear to stand and speak before their Lord,
    upon that day we’ll rise and say Habeebi Ya RasoolAllah

    Habeebi Ya RasoolAllah, Habeebi Ya RasoolAllah

    Nasheed Information:

    Artist: Milad Raza Qadri
    Album: Tere Hotay Janam Liya Hota
    Produced: Oriental Star Agencies Ltd
    Lyrics provided by qudsiyyah

  • Haq Allah Lyrics

    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah
    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah
    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah
    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah…

    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah
    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

    Aye Mujahid e Nabi naat gungunaye jaa
    Aye Mujahid e Nabi naat gungunaye jaa
    Naghma e Muhammadi tu jhoom kar sunaye jaa
    Do jahan pay chaye jaa zarb e Haq lagaye jaa.

    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah
    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

    Parcham e Nabi utha lay Khuda ka aasra
    Parcham e Nabi utha lay Khuda ka aasra
    Dars e Murshidi hay yeh Haq pay zindagi luta
    Haq pay jaan lutaye ja zarb e Haq lagaye jaa

    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah
    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

    Baat kar tu baad main pehlay tu salaam kar
    Baat kar tu baad main pehlay tu salaam kar
    Joo terey buzurg hain un ka ihtaram ker
    Unn say faiz paye jaa zarab-e-Haq lagaye jaa

    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah
    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

    Shukar kar Khuda ka tu tujh ko yeh watan mila
    Shukar kar Khuda ka tu tujh ko yeh watan mila
    Pak sarzameen mili aur yeh chaman mila
    Sar ko tu jhukaye ja zarab-e-Haq lagaye ja

    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah
    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

    Jhoot bolna nahin tum kabhi zabaan say
    Jhoot bolna nahin tum kabhi zabaan say
    Lanat e Khuda hai yeh daikh lo Quran say
    Sach kay geet gaye ja zarb-e-Haq lagaye ja

    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah
    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

    Apnay murshidi ka dil iss tarah say shaad kar
    Apnay murshidi ka dil iss tarah say shaad kar
    Joo sabaq milay tujhay tu dil laga kay yaad kar
    Unn say faiz paye jaa zarab-e-Haq lagaye jaa

    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah
    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

    Aaye jo Ramadan rozoon ka Ihtamam kar
    Aaye jo Ramadan rozoon ka Ihtamam kar
    Khaa tu Rab ki naimtain zikr uss ka aam kar
    Zikr tu sunaye ja zarb-e-Haq lagaye jaa

    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah
    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

    Aarzo ki hai dua aour rahay sukhi sada
    Aarzo ki hai dua aour rahay sukhi sada
    Meharban Aaqa hoon aur karam karay Khuda
    Madani rang mein rangata ja zarab-e-Haq lagaye jaa

    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah
    Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

    Lyrics and Video Information

    Naat Khawan: Farhan Ali Qadri
    Album: Noor Wala Aaya Hai
    Album Subtitle: Marhaba Ya Mustafa
    Naat: Haq Allah