Naat Sarkar Ki Parhata Hoon Mein Lyrics

in Milad Raza Qadri Lyrics, n

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi
Ik tera naam waseela hey mera
Ranjo o gham main bhi isi naam say rahat hogi

Yeh suna hai kay bohat gaur andheri hogi
Qabr ka khauf na rakhna aie dil
Wahan sarkar kay chehray ki ziarat hogi

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

Kabhi yaseen kabhi tauha kabhi walail aaya
Jis ki kasmein mera Rab khata hai
Kitni dil kash meray mehboob ki surat hogi.

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

Hashar ka din bhi ajab dekhnay wala hoga
Zulf lehra kay woh jab aayein gay
Phir qayamat pay bhi khud aik qayamat ho gi

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

Un ko mukhtar banaya hai meray Allah nay
Khuld main bas wohi jaa sakta hai
Jisko Hasnain kay nana ki ijazat ho gi.

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

Do jahan main usay phir koun panah main lay le ga
Ho ga ruswa wo sar-e-hashr jisay
Syeda Zahra kay bachoon say adawat hogi.

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

Unki chokhat pay pare hain to bari mauj main hain
Laut kay aayein gay jab us dar say
Meray dil tu hi bata kiya teri halat ho gi.

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

Rushk say dur kharey dekhtay houn gay Zahid
Jab sar e hashr gunahgaroon par
Meray aaqa ka karam ho ga inayat ho gi.

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

Mera daman to gunahoon say bhara hai Altaf
Ik sahara hai kay hum teray hain
Isi nisbat say sar e hashar shafa’at ho gi.

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…