Karam Kay Aashiyanay Ki Lyrics – Syed Ikram Akbar Bukhari

in Syed Ikram Akbar Bukhari

Karam kay aashiyanay ki kia baat hai
Aap kay aastanay ki kya baat hay.

Fatima o Ali phir Hussain o Hassan
Mustafa k gharanay ki kia baat hay.

Haazri ko chala hay madinay ki tu
Dosta teray janay ki kia baat hai.

Waq e aakhir bhi hai, woh bhi hain samnay
Aie kaza teray aanay ki baat hai.

Kitnay nanay bhi hain, aur nawasay bhi hain
Ibn e Haider kay nanay ki kia baat hay.

Tak kay bolay nakirain hakim mujhay
Mustafa kay diwanay ki kia baat hay.

Aik ghar jo milay shehray sarkar main
Phir to aisay thikanay ki kia baat hay.

Naat & Video Information
Naat Khawan: Syedf Ikram Akbar Bukhari
Album: Jashn-e-Millad
D.O.P: Rana Akram
Editor: Abdul Razaque Solangi
Producer: Syed Sabihuddin Rehmani
Director: Kashif Mughal