Fikr E Iqbal Lyrics

in Shahid Baltistani Nohay Lyrics

Bayan sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye x2

1. Musalmano kaa Qibla Rozaa-e-Shabbir ho jaye
Bayan sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye x2
Gham-e-Shabbir ko chashme muhammad se agar dekhe
kabhibhi bhi majiliso mataam ko tu bid’at nahi samje
Tere maslak me jayiz matam-e-shabbir ho jaye
Bayan sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye x2

2. Sar-e-majlis shahoor aajayenga ansoo bahane kaa
tumharaa dil bhi chaahenga azakhane me jane ka
Tumhare naam bhi firdos ki jageer ho jaye
Bayan sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye x2

3. Tuje Quran me tathir ki ayat nahi milti
Sabab ye hai ke matam daar se fitrat nahi milti
Nishan matam ka sine per abhi tehrir hojaye
Bayan sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye x2

4. Janab-e-Hazrat-e-Shabbir ki jo maa hai ay logo
Muhammad ne use khud maa kahaa itna agar socho
to Roza Fatema Zehra abhi tameer ho jaye
Bayan sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye x2

5. Nishan-e-Matam-e-Shabbir hai sadiyon ke sine par
bataaya hazrat Iqbal aur Rehan ne mil kar
ho abh khamosh har tehrir har takrir ho jaye
Bayan sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye x2