Aur Sham E Gharibaan Lyrics

in Shahid Baltistani Nohay Lyrics

Kayamat ke manzar sare kabalaa hai

na salaar hai aur na lashker bachaa hai Qayamat ka manzar
Khudda yaa kisi par na raat aaye aisi
ye kehte huwe suraj gurur ho gayaa hai
Qayamat ka manzar
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban, saadat hai pardes hai
Kya waqt hai Ghazi nahi Zainab hai Nigheban
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2
saadat hai pardes hai

1. Ai raat andhero ko zara aur barhaa de
Maqtal ki hawaa jhalte Charaghon ko bujaa de
Dekhe naa Alamdaar behen ko sar-e-uriyaan
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2
saadat hai pardes hai

2. Bibi koyi jhule ki jali raakh utha ker
kehti hai agar tu nahi aayaa Ali asgar
khud run me chali aaengi besheer teri maa
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2

3. Tu bhi naa rahaa jee ke karoon kiyaa mere bache
khud apnne hi hathon se meri kabr bana de
lailaa pe ye hoga Ali Akber tera ashsaan
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2

4. Daryaa pe tarapta hai hai alamdaar kaa laashaa
maqtal me ajab haal se ati hai sakina
Khaimo kaa dhuwan aankh me jhal taa huwaa daman
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2

5. kehte hai ye jhalte huwe khaymon mei musalle
sajaad tahajud to zara chain se perhle
Afsoos ye mohlat bhi nahi dete musalman
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2

6. Woh waqt Taqallum tha ajab bint-e-Ali per
Kehne lage maula jo nikaab apni uthaa ker
me baap hu Zainab muje pehchaan meri jaan
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2