Mere Zanjeer Na Kehncho Sakina Jaag Jaye Gi Lyrics

in Shahid Baltistani Nohay Lyrics

Haye Sajjad Muhari haye Bimaar muhari x2

Machao shor na logo sakina Jaag Jayengi
Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi x2

1. Kabhi Bachi ko takta hai kabhi aansoon bahata hai
Dar-e-Zindan pe betha musafir sabse kehtaa hai
zaraa aaram se guzro sakina Jaag Jayengi
Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi x2

2. Kisi bhi Zulm ke jo aah ki khatir wo lab khulte
Tarap ker Abid-e-bimar ye kehta thaa hoto se
agar ye aah nikli to sakina Jaag Jayengi
Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi x2

3. Agar Aulaad wale ho tumhe ye sab pataa hoga
adhoori neendh se uth jaye jo bachi to kiya hoga
khudara shimr ko roko sakina Jaag Jayengi
Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi x2

4. Abhi Zindan me hojayega kohraam phir barpa
who aahat simt ke samjegi ke shayed aa gaye baba
Dar-e-Zindan naa kholo sakina Jaag Jayengi
Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi x2

5. Ye wadaa hai meraa pani nahi mangooga me tum se
wo jab uthtjaya to jee bhar ke beshak maar na dure
abhi bekas ko na maro sakina Jaag Jayengi
Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi x2

6. Abhi azad ho tum qayd ke matlab ko kiya jano
parindo chordo zindan meri iltejaa maango
chale jawoo naa yu chehko sakina Jaag Jayengi
Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi x2

7. Sar-e-Zinda sakina ko kazaa ki neend kiyaa aayi
kisi se kuch nahi kehtaa hai is mazloom ka bhayi
ke ab ye der nahi usko sakina Jaag Jayengi
Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi x2

8. Agar Aulaad wale ho tumhe ye sab pataa hoga
adhoori neendh se uth jaye jo bachi to kiya hoga
khudara shimr ko roko sakina Jaag Jayengi
Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi x2

9. Saf-e-matam se abid ka ye Akbar bayn aata hai
Isse bas baap ke purse mei hi ab cheyn aata hai
Sada matam ki na roko, Sakina jaag jayengi
Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi x2
Haye Sajjad Muhari haye Bimaar muhari x2