Faslon Ko Khudara Mita Do Lyrics

in f, Hooria Rafiq Lyrics

Faslon ko khudara mita do
Rukh say parda, ab apne hata do
Apna jalwa, kisi main dikha do
Jaliyon per nigahein jami hain.

Gous ul Azam ho, Ghouse ul Wara ho
Noor ho noor salle ala ho
Kiya bayan aapka martaba ho
Dastageer aur mushkil kusha ho
Aaj deedar apna kara do.

Jaliyoon per nigahein jami hain…

Wajd main aaye ga sara aalam
Jab pukarein gay, Ya Ghous e Azam
Woh nikal aayein gay jaliyoon say
Aur kadmoon main gir jayein gay hum
Phir kahein ge, ke bigri bana do.

Jaliyon per nigahein jami hain…

Shidat e gham say, ghabra gaya houn
Ab to jeenay say tang aa gaya houn
Har taraf app ko dhoundta hoon
Aur eik eik say yeh phuchta hoon
Koi paigham ho to bata doon.

Jaliyoon per nigahein jami hain…

Aik mujrim siyah kar houn main
Har khata ka saza war houn main
Meray charoon taraf hai andhera
Roshni ka talab gar houn main
Eik diya hee samajh kay jala do

Jaliyon par nigahein jami hein…

Fiqr dekho khayalat dekho
Yeh aqeedat yeh jazbat dekho
Main houn kiya meri auqat dekho
Samnay kiski hai zaat dekho
Aie Adeeb apnay sir ko jhuka do

Jaliyon per nigahein jami hain
Jaliyoon par nigahein jmi hain

Faaslon ko khudara mita do
Rukh say parda, ab apne hata do
Apna jalwa, kisi main dikha do
Jaliyon per nigahein jami hain.