Dua e Ali (AS) Lyrics

in Mesum Abbas Nohay Lyrics

Ya habibi ya Hussain

(Sakhi Abbas Jari Ya ilaahi mujhe de) x2

1. Ek jari chaahiye taarike shujaa’at ke liye
Karbala mein mere Shabbir ki nusrat ke liye
Aur na munh se payambar ki hifaazat ke liye
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

2. Shukr sad shukr tera shabbar-o-shabbir diye
Betiyaan ki hai ata zainab-o-kulsoom mujhe
Baad iske meri bas ek dua ke badle
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

3. Aaina sabr-o-shujaat ka bana na mera
Hu bahu meri hi tasweer ho baccha mera
Usko dekhoon to nazar aaye sarapa mera
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

4. Koi be-yar-o-madadgaar agar hojaye
Iltaja behre madad apni zabaan par laye
Mujko awaaz koi de wo madad ko aaye
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

5. Zindagi jiski guzar jaye alamdaari me
Apne baazoo bhi kata de jo fidakaari me
Sabse aage nazar aaye jo wafadaari me
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

6. Naam uska ho jin hoton pe wahan pyas na ho
Koi umeed na toote koi be aas na ho
Yaad karke use tanhai ka ehsaas na ho
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

7. Mere maalik mere honthhon pe jab aayi ye dua
Meri aankhon mein nazar aane lagi Karbobala
Mera Shabbir musibat mein kharaa hay tanhaa
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

8. Jab woh karbal mein ho chawbhees pehel ka pyaasa
Har kadam par use isaar ka jazba dena
Aur mere laal ke haathonko salaamat rakhna
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

9. Ay “kaleem” hogayi maqbool duaa-e-Haidar
Usko “Mesum” kaha hai Fatema Zehra ne pisar
Arzu ki thi Ali ne jo huzur-e-daawar
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3